Nazim's poetry

Nazim's poetry

Sunday, May 26, 2013

Haan wo tum hi to houn ????


Jiski band Akhoun main Mere Khawab Hain,

Jiski Sansuon me bajhte Rubab hai ,

Laboun ki pankhari jEse Gulab hai ,

Jiski Zindagi main band mere sarey baab hai,

Wo Mujasma-E-hayat Tum hi to ho

Haaan wo tum hi to houn ,

Jis se mansoob mere sarey armaan hai

Andaaz jiske takkubur k hashr ka saman hai,

Jiski Sadgi me Husn bhi Qurban hain,

JIski be rukhi me sarey guman hain,

Woh Meh Parwar haseena tum hi to ho,

haan wo tum hi to ho,

Jab hawa tumhe choo kar guzar jati hain,

Aik aag se seene me bharak jati hain ,

tum pass nahi hoti to GOya Zindagi Ruth jati hain ,

Quwat-E-Goyayi jis k samney Salb ho jati hai

Wo Naveed-E-zindagi Tum hi to ho,

haan wo tum hi to houn,

tere pero se wo tapakta hua pani,

teri sheeri zaban ki Uf woh rawani,

Roshan cherey per dhamakti ankhein wo noorani,

Woh shakr-E-husn tum hi to houn ,

Haan wo tum hi to houn ????

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...