Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, December 28, 2012

Phir Beet Chala Hai December

Ye Thandi Hawaein December Ki 
Badan Jalati Hain
Raat Ankhon Mein Katti Hai 
Or Yadein Badan Jalati Hain 
Tujhe Pukarte Hain 
Tum Hi Tu Hon Meri Zindagi 
Duriyan Hain Tum Se 
Or Phir Teri Majboriyan Badan Jalati Hain 
December Ki Dhoop Mein Beath Tu Jata Hon
 Main Nazim Sakon K Liye 
Magr Samne Chalkne Wali Ghataein  
Badan Jalati Hain 
Kabi Tere Sath Koi Raat Mile
 Tujhe Dukh Sunaon Apne 
Raat Ki Ye Khamosh Tanhaiyan  
Badan Jalati Hain 
Nehin Ye Bardashat Hoti
 Duriyan Boht Zalim Hain 
Na Jeete Hain Na Marte Hain, 
December Ki Ye Tezz Hawaein  
Badan Jalati Hain 
Nazim Kabi Tu Wo Mere Samne Aaye
 Meri Ankhon Ko Sakon Aaye 
Phir Beet Chala Hai December
 Ye Sadaein Badan Jalati Hain 
( Nazim Ali ) 



 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...