Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, November 30, 2012

Kise Da Yaar Na Vichre

Paa Ne Re Sa Re Ne Pa...
Aes To Dadha Dukh Na Koi Pyar Na Vichre
Kise Da Yaar Na Vichre

Roag Hijar Da Maar Mukaawe
Sukh Da Koi Sah Na Aawe

Dukh Laande Nay Dil Vich Dere
Chare Paase Disan Hanere

Duniya Vichre Nahin Parwah Dildar Na Vichre
Kise Da Yaar Na Vichre






Nagan Vangoon Dang Diyan Raatan
Pat Jhar Lag Diyan Ne Barsatan

Hanjuan Haar Parowan Rakhiyan
Loki Hasde Rowan Akhiyan

Gham Aawan Te Naheen Parwaah Ghamkhawaar Na Vichrhe
Kise Da Yaar Na Wichre

Yaar Jinhaan De Paaon Judayi'yaan
Rul Jaande Ne Vaang Shudaayiaan

Ranjhe Vargey Ishq De Rogi
Kan Parhwa Ke Ban Gaye Jogi

Lakh Vaari Jeh Karo Dua Ik Vaar Na Vichrhe
Kisi Daa Yaar Na Wichre... 











Mein Khayal Hoon Kisi Aur Ka

Mein Khayal Hoon Kisi Aur Ka
Mujhe Sochta Koi Aur Hai
Sar-E-Aeenah Mera Aks Hai
Pas-E-Aeenah Koi Aur Hai

Mein Kisi Keh Dast-E-Talab Mein Hoon
To Kisi Keh Harf-E-Dua Mein Hoon
Mein Naseeb Hoon Kisi Aur Ka
Mejhe Maangta Koi Aur Hai

Ajab Aitabar-O-Bey Aitabaree
Keh Darmayan Hai Zindagi
Mein Qareeb Hoon Kisi Aur Keh
Mujhe Jaanta Koi Aur Hai

Mujhe Doston Ka Pata Nahin
Mujhey Dushmanon Ki Khabar Nahin
Meri Daastan Koi Aur Thi
Mera Waaqaya Koi Aur Hai

Jo Milen Kabhi Unhen Poochna
Dekhna Unhen Ghaur Sey
Jinhen Raastey Mein Khabar Hui
Keh Yeh Raasta Koi Aur Hai

Jo Meri Reyazat-E-Neem Shab
Ko Saleem Subh Na Mil Saki
To Is Key Mani To Yeh Hue
Keh Yahan Khuda Koi Aur Hai 



Piya rey, piya rey, piya rey, piya rey,

Piya rey, piya rey, piya rey, piya rey,
Tharey bina lageynahee mara jiya rey hooooa
Tharey bina lagey nahee mara jiya rey.
Naina ney tharee kaisa jadoo kiya rey
Tharey bina lagey nahee mara jiya rey hoooa
Tharey bina lagey nahee mara jiya rey.
Piya rey, piya rey, piya rey, piya rey
Tharey bina lageynahee mara jiya rey hooooa
Tharey bina lagey nahee mara jiya rey.

Tharey bina mohey chaien na awey
Dhuk, dhuk, dhuk, mara jee ghabrawey
Boley basureya sunley sawariya
Boley basuriya sunley sawariya
Tharey bina mohey kuch nahee bahwey
Piya rey, piya rey, piya rey, piya rey,
Tharey bina lagey nahee mara jiya rey hoooa
Tharey bina lagey nahee mara jiya rey.
Naina ney tharee kaisa jadoo kiya rey
Tharey bina lageynahee mara jiya rey hooooa
Tharey bina lagey nahee mara jiya rey.


Pyar kee kaliyan kub kee rakhiyan
Yahan wahan tuk tuk mey tey tahkiyan
Sanjh sawerey deykhun lagey
Sanjh sawerey deykhun lagey
Tharee surateiya maree ankhiyan
Piya rey, piya rey, piya rey, piya rey,
Tharey bina lageynahee mara jiya rey hoooa
Tharey bina lagey nahee mara jiya
Naina ney thare kaisa jadoo kiya rey
Tharey bina lageynahee mara jiya rey hooooa
Tharey bina lagey nahee mara jiya rey.
Piya rey, piya rey, piya rey, piya rey,
Tharey bina lagey nahee mara jiya rey hoooa
Tharey bina lagey nahee mara jiya rey. 



Pilao Saqi Pilao, Keh Raat Baqi Hai

Pilao Saqi Pilao, Keh Raat Baqi Hai
Pilao Saqi Pilao, Keh Raat Bagi Hai
Pilao Saqi Mere Saqi, Pilao Saqi Mere Saqi

Tu Hai Saqi-Zamana Teri Zaat Hai Yagana
Mujhe Hosh Hi Na Aye Koi Aisa Jaam De De Saqi
Pilao Saqi Mere Saqi, Pilao Saqi Mere Saqi

Dair-O-Haram Mein Chal Diyeah Dair-O-Haram Ke Loag
Jo Rind Thay Woh Teri Panahon Mein Aa Gaye
Pilao Saqi Mere Saqi, Pilao Saqi Mere Saqi

Wada-E-Ishq Pilao To Koi Baat Banay
Tishnagi Meri Bujhao To Koi Baat Banay Saqi
Pilao Saqi Mere Saqi, Pilao Saqi Mere Saqi

Baadal Ki Tarha Jhoom Ke Lehra Ke Piyein Gay, Saqi Tere Maikhane Pe Hum Ja K Piyein Gay
Daikhen Ge Aata Hai Kidhar Se Gham-E-Duniya, Saqi Tujhe Hum Saamne Bithla K Piyein Gay
Pilao Saqi Pilao Ke Raat Baaqi Hai

Pilao Saqi Mere Saqi, Pilao Saqi Mere Saqi
Chalaao Daur Chalao Ke Raat Baaqi Hai
Chalaao Daur Chalao Ke Raat Baaqi Hai

Rahay Na Tishnagi Dil Ki, Karam Yeh Ho Ja'ay
Nazar Nazar Say Milao, Keh Raat Baaqi Hai
Nazar Nazar Say Saqi Milao, Nazar Nazar Say Saqi Milao

Saqi Mujhay Sharaab Ki Tohmat Nahi Pasand
Mujh Ko Teri Nigah Ka Ilzaam Chahiyeah Saqi
Nazar Nazar Say Saqi Milao, Nazar Nazar Say Saqi Milao

Saqia Mujh Ko Teri Mast Nigahon Ki Qasam
Tu Nay Bewada Mujhay Mast Bana Rakha Hai
Nazar Nazar Say Saqi Milao, Nazar Nazar Say Saqi Milao

Hon Jo Das Bees Sharabi To Woh Tauba Kar Lein
Shehr Ka Shehr Hai Dooba Howa Maikhanay Mein
Nazar Nazar Say Saqi Milao, Nazar Nazar Say Saqi Milao

Haye Ye Zulf-E-Pareshan Dekh Kar, Mein Chalakta Jaam Kaisay Chor Doon
Ya To Iss Kaali Ghata Ko Rok Lo, Ya Ijazat Do Ke Tauba Tor Doon
Nazar Nazar Say Saqi Milao, Nazar Nazar Say Saqi Milao

Sara Jahan Karay Ga Meri Maikashi Pe Rashk
Teri Haseen Nigah Agar Jaam Ban Gayi Saqi
Nazar Nazar Se Saqi Milao, Nazar Nazar Se Saqi Milao

Teri Nazron Ki Haqeeqat Koi Mujh Se Poochay
Aankh Ki Aankh Hai Paimanay Ka Paimana Hai
Nazar Nazar Se Saqi Milao, Nazar Nazar Se Saqi Milao

Daikh Lo Tum To Gulistan Abhi Maikhana Banay
Aaankh Jiss Phool Pay Daalo Wohi Paimana Banay Saqi!
Nazar Nazar Se Saqi Milao, Nazar Nazar Se Saqi Milao

Mein Jaam Uthata Hoon Tu Angrai Lay
Mumkin Hai K Is Tarha Bahar Aa Gaye, Mere Saqi!
Nazar Nazar Say Saqi Milao, Nazar Nazar Say Saqi Milao

Nazar Nazar Say Milao Keh Raat Baaqi Hai
Kahin Na Maikada Tareekion Say Chup Ja'ay
Abhi Na Shamma Bujhao Keh Raat Baaqi Hai

Rahay Na Hosh Mujhay Umr Bhar Ka Ay Saqi
Rahay Na Hosh Mujhay Umr Bhar Ka Ay Saqi
Kuch Iss Tarha Se Pilao Keh Raat Baaqi Hai

Para He Rehnay Do Chaukhat Pay Noor Ko Saqi
Para He Rehnay Do Chaukhat Pay Noor Ko Saqi
Isay Na Hosh Mein Lao Keh Raat Baaqi Hai

Pilao Saqi Pilaao Keh Raat Baaqi Hai
Pilao Saqi Pilaao Keh Raat Baaqi Hai... 




shaam savere nain bicha ker..

shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
ram he janay kab chamke gi qismat mere angan ki
shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
shaam savere nain bicha ker...

ghar ghar meri preet ka charcha ghar ghar mere prem ki baat
pankh bina he urh jati hai baat dilon ke bandhan ki
//shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
shaam savere nain bicha ker...

nain chura ke jab se sayyan duur kaheen pardes gaye
birhan ki akhiyon se barse bin sawan rut sawan ki
shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
shaam savere nain bicha ker...

haal pareshaan baal praeshaan khoyi khoyi rehti hoon
aisa jadu daar gaye hein sud bisrayi tan mun ki
shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
shaam savere nain bicha ker...

preetam ka munn mera munn hai uski aasha meri hai
pee ke naina mere naina dasi hoon mein sotan ki
shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
shaam savere nain bicha ker...

pardesi ke sung gayi thi bhol na jaye raah kahin
lout ke aana bhol gayi hai jout hamare nainan ki
shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
shaam savere nain bicha ker...

shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
ram he janay kab chamke gi qismat mere angan ki
shaam savere nain bicha ker raah takon mein sajan ki
shaam savere nain bicha ker... 

 

Aisi Hai Tanhai

Aa Aa Aa Aa Aa

Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Rona Chahoon To, Rona Chahoon To
Aansoon Na Aayein, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai

Jo Aise Chod Ke Mehboob Jaaye
To Jeene Se Na Kyoon Dil Oobh Jaaye
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai...

Paya Humne Ye Bin Tere
Ranj Ki Raahein Aur Gam Ke Andhere
Ranj Ki Raahein Aur Gam Ke Andhere
Woh Bhi To Humse, Woh Bhi To Humse
Kho Gayee Hai, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai...

Pa Ni Da Ma Re Da Ni Pa Da Mi...

Yaad Aate Hain, Beetey Zamaane
Jab Tum Aaye The Humko Manaane
Jab Tum Aaye The Humko Manaane
Abh To Dil Roothey, Abh To Dil Roothey
Dard Manaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai

Rona Chahoon To, Rona Chahoon To
Aansoon Na Aayein, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai...

Aa Aa Aa Aa
Aa Aa Aa Aa
Aa Aa Aa Aa Aa... 



Fasl-e-gul hai sajaa hai maikhaana

Fasl-e-gul hai sajaa hai maikhaana
chal mere dil khulaa hai maikhaana

maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana

Fasl-e-gul hai sajaa hai maikhaana
chal mere dil khulaa hai maikhaana

maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana

shaam ke waqt baithne ke liyeh sub se achi jagah hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana

maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana

khat hai shayad kisi sharabi ka, khat ke ooper likha hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana

maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana

kiss tarah chor doon isay waaiz, mushkilon se mila hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana

maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana

zindagi jab guzaarni hai kaheen, yaar phir kya bura hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana

maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana

jab se wo aankh khafa hum se, yoon lagay hai khafa hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana

maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana

Fasle gul hai saja hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana

maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana 







sun charkhe di miithi mithi kook

sun charkhe di miithi mithi kook
mahiya mainu yaad aawanda
meri dil viccho udthi e hook
mahiya mainyu aawnda
Meri eid waala chan kadon chadega
Allah jana mahi kadon vede wadega
Dukh dhade ne te Zindhi malook
sun charkhe di miithi mithi kook
mahiya mainu yaad aawanda
mahi aavega te khushiyan manavangi
udehe rahavan vich akhiyan vichawangi
jaan chadi hai vichhorein ne fook
sun charkhe di miithi mithi kook
mahiya mainu yaad aawanda
meri dil viccho udthi e hook
mahiya mainyu aawnda
taane marde ne apne sharik ve
likh chithi vich aaun dee tarik ve
kaale raat wali dange mainu shook
mahiyqa mainu aawanda
sun charkhe di miithi mithi kook
mahiya mainu yaad aawanda
meri dil viccho udthi e hook
kata pooriyan de hanju mere waghde
hun haase vi nahi mainu change lagde
kivein bhul jawan ude mai salook
sun charkhe di miithi mithi kook
mahiya mainu yaad aawanda
meri dil viccho udthi e hook




mjy tm bool mt jana

Yehi lab pe duain hain,
mjy tm bool mt jana
Suno dil ki sadain hain
mjy tm bhool mat jana,

Meri kushion ka mahvr ho,
meri dharkan ki sargm ho,
Tuhmi se sb wafain hain,
mjy tm bhool mt jana,

Yun khil k muskra lena,
sbi arman daba lena,
Ye sb qatil adain hain,
mjy tm bhool mt jana,
Phoolon me teri khshbu,
meri neendon me chaya tu,
Suno kali ghatain hain,
mjy tm bhool mt jana,

Wafa ki akhri shama,
tm us ko jala rkhna,
Bohat zalim hawain hain,
mjy tm bhool mt jana.. 


Wo jo dil main tera maqam hai

Wo jo dil main tera maqam hai,
Kisi or ko wo dia nahi,
Wo jo rishta tujh se hai ban gaya,
Kisi or se wo bana nahi,
Wo jo pyar tujh se ho gaya,
Kisi or se wo hua nhi,
Wo jo raaz tujh se hai kehdia,
Kisi or se wo kaha nhi,
Wo jo sukh mila teri zaat se,
Kisi or se wo mila nhi,
Tu basa hai ankhon mey jis trha,
Koi or aise basa nhi,
Tu hua hai jitna qareebtar,
Koi or itna hua nhi,
Tera nam dil mey hai jistrha,
Koi naam aise likha nahi. 




Thursday, November 29, 2012

PHIR KOI UDAAS HAI

PHIR KOI UDAAS
HAI
ajnabi c raahon mein,
door tak nigaahon mein,
berukhi ka mosam hy,
aaj phir nigaahon ko,
beetay pal ki pyaass hai,
"aisa lgta h jesy,
" PHIR KOI UDAAS HAI"
bat to kray koi,
saath to chlay koi,
khamoshi ka pehra hy,
zakhm dil ka gehra hy,
phir rha hoon dar baddar,
mojzay ki aas hy,
"aisa lgta hy jesy,
"" PHIR KOI UDAAS HAI" 





Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai

Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai.
Magar Jeene Ki Surat To Rahi Hai.
Main Kyun Phirta Hun Tanha Mara Mara.
Ye Basti Chain Se Kyon So Rahi Hai.
Chal Dil Se Ummidon K Musafir..
Ye Nagari Aj Khali Ho Rahi Hai.
Na Samjho Tum Ise Shor-E- Baharan.
Khizan Patton Main Chup K Ro Rahi Hai.
Hamare Ghar Ki Diwaron Pe 'Nasir'
Udasi Bal Khole So Rahi Hai

Jo Hoonton Per Theher Jayen..

Bohut Takleef Deta Hai Kisi Ko Al-Vida Kehna.
Dikhai Kuch Nahi Deta.. Sunai Kuch Nahi Deta.
Faqat Kuch Kap-Kapatey Lafz..
Jo Hoonton Per Theher Jayen..
Ubharti Doobti Dharkan... Usey Aawaaz Deti Hai.
Koi Apna K Jis Ka Naam Apne Dil Pe Likha Ho.
Jis K Wastey Dil Se Duaein Hi Nikalti Hoon.
Bohat Takleef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna.
Jisey Dil Mein Basaya Ho.
Barey Hi Maan Se Jiss Ko Kabhi Apna Banaya Ho.
Bohat Takleef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna. 


Teray Siva koi Mere jazbat me nhi

Teray Siva koi Mere jazbat me nhi,
Ankhon me wo Nami he jo Barsat me nhi,
Pany ki Tujhe koshish Boht ki,
Mgr
Shayed Wo ek Lakeer Mere Hath me nhi. 


Waqt Saray Dua K Hote Hain

Qurb K Na Wafa K Hote Hain.
Saray Jhagray Ana K Hote Hain.
Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna.
Waqt Saray Dua K Hote Hain.
Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna.
Log Putlay Khata K Hote Hain.
Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte.
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain.
Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz.
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain.

Chalo Ham Maan Lete Hain

Chalo Ham Maan Lete Hain.
Tumhen Hum Kho Chuke Lekin.
Tumhari Yaad Ab Tak Bhi.
Hamen Betaab Rakhti Hai.
Hamaari Saans Ab Tak Bhi.
Tmhaari Aas Rkhti Hai.
Mgr Ab Ye Bhi Sunte Hain.
Tumhaari Raah Roshan Hai.
Tumhen Hai Mil Gaya Koi.
Magar Afsos..!
Ham Jesa.. Agar Paao Kahin Tum To.
Mujhe Do Lufz Likh Dena.. K....
MANZIL MIL GAI MUJH KO.

raton ko so kar suko0n milta hai

Log kehty hain k raton ko so kar suko0n milta hai,


"Ali"


Hum to w0 waqt bi kisi ki yado0n main bita dety hain...



Saza e Mout Honi hai..!

Aao Farigh Ho Tu Tumhe Bhi Sath Le Chalun

Doston

Suna Hai Aj Mohabbat Ko Saza e Mout Honi hai..!


Meray dard ki kahani

Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kaisey meray doston sey poocho,
Jo khuda tha meray Dil ka, mera Dil usi ney tora,
Yeh ghamo ki sarhadon par mujhey kis ney la chora,
Ussey mein ney kitna chaha dharkano sey poocho,
Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho,
Yeh saza meray naseeb nei dee meri aashiqui ki,
Diya jis ko Dil ussi ney meray Dil sey dillagi ki,
Mein kahan kahan jala hoon meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho..
 
 
 
 

Mujhe itna pyar na do Baba

Mujhe itna pyar na do Baba
Kal jane mujhe naseeb na ho
Ye jo maatha choma karte ho
Kal is par shikan ajeeb na ho
Main jab b roti hon Baba
Tum aansu poncha karte ho
Mujhe itni dour na chor ana
Main ro'un or tum qareeb na ho
Mere naz othate ho baba
Mujhe laad ludate ho baba
Meri choti choti khwahish par
Tum jaan lutate ho baba
Kal aesa ho ik nagri may
Main tanha tumko yaad karon
Or ro ro k faryad karon
Ae Allah mere baba sa
Koi pyar jatane wala ho
Mere naz othany wala ho
Mere baba mujhse ehad karo
Mujhe tum chupa kar rakho ge
Dunya ki zalim nazron se mujhe tum chupa kar rakho ge. 




FATHER says:

Har dam aesa kab ho paya hay

Jo soch rahi ho lado tum
Wo sab to bas 1 maya hay
Koi baap apni beti ko
Kab jane se rok paya hay
Sach kehte hein dunya wale
Beti to dhan paraya hay
Ghar ghar ki yehi kahani hay
Dunya ki reet purani hay
Har baap nibhata aya hay
Tere baba ko b nibhane hai...!





khawab kidher jatay hain

khaak muthi main liye qabr ki main sochta hon

hum jo martay hain to phir khawab kidher jatay hain
 
 
 


Khara Soch Raha Hoon..

Tu Ne Tu Iradey Hi Mere Toor Diye Hain,

Guzre Ga Safar Kaise, Khara Soch Raha Hoon..

Wednesday, November 28, 2012

Hug me

I want u to hug me when I
get scared...
I want u to kiss me when I
act like a kid...
I want u to care for me
When I m sick...
I wanna u to listen to me
when I wanna say u
something...
I want u to understand my
silence
when I dont've words to
express what I feel...
I want u to be there when
I need a friend...
I want u to love me for
what I am...
And above all
"I want u to complete. 



itwar hona chahiye..

Apni Yaadon se kaho ek din chutti dein mujhay!

ishq k hissay main bhi to itwar hona chahiye..

Kahin be kinar sy ratjagay !!

Kahin be kinar sy ratjagay!!
Kahin zar nigar sy khawab sey...
Tera kia asool hai zindagi???
Tujhy kon iska hisab dey???

Jo bicha sakon tery wastay,
Jo saja sakon tery rastay!!
Meri dastras main sitary rakh,
Meri muthiyon main gulab dey...

Ye jo khwishon ka parind hai,
Isy mosamon sy gharz nahin,,,
Ye uray ga apni he mouj main,
Isy aab dey k saraab dey!!!

Tujhy choo liya to bharak uthey!
Mery jism-o-jaan main charagh sy,,
Isi aag main mujhy raakh kar!
Isi shoulgi ko shabaab dey...

Kabhi yun bhi to ho, tery rubaro!
Main nazar mila k ye keh sakon,,
Meri hasraton ko shumar kar,
Meri kwishon ka hisab dey!!

Teri ik nigah k faiz sey
Meri kasht-e-harf chamak uthi,,
Mera lafz lafz ho kehkashan,
Mujhy aik aisi kitaab dey...!!!

ToOt Jaya Karte Hain.....!!!

Tum Mujhe Rooh Mein Basa Lo To Acha Hai

Yeh Dil-O-Jaan Ke Rishte Aksar ToOt Jaya Karte Hain.....!!!

wo laut k aya na tha

muntazir tha sath meray doobta suraj bhi magar

dhal chuki thi sham or wo laut k aya na tha

palkon pe thehera tha

Jo beh jata to ker deta, teh-o-bala wo dunia ko

Wo ik aansoo tere, jane pe jo palkon pe thehera tha


mein sahara banon..!!

Tu kashtiyon mein rahe mein kinara banun

Tumhein jahan bhi zaroorat ho mein sahara banon..!!

Thaki thaki si tanhai hai

Thaki thaki si tanhai hai, ghuti ghuti baizari hai

Yeh kese gardaab mein hum ne kashti-e-khawab utari hai..!!!
 
 
 

Aansoo bhi

Aansoo bhi ab to ruk ruk kar galon se mere behte hain, 

Yeh raat ki tanhayi ehsas dila rahi hai kitni akeli hon main..

Tuesday, November 27, 2012

Bikhrne ki mujhe apne agr khabr hoti

Bikhrne ki mujhe apne agr khabr hoti 
tou kuch Taddbeer krta,
Mana k Buht kuch kia, 
par kuch tou mere hq mein meri taqdeer krti,
Usse apna dukhra sunata, 
teri shekaytien krta,
Kash k dheron batien mujh se teri tasveer krti,
Jitna bura zakham diya hai
tere dard-e-mohabbat ne
Itna ghehra ghao tou na shaid koi smsheer krti,
Hoti agr adalat-e-mohabbbat is jahan mein
tou jeet leta tujh ko,
Raqeebon ko maat dene ke liye
mehngy se mehnga koi qabil waqeel krta,
Kya krta k tu meri qismt mein hi ni
 tou mujhe milta kesy,
Hota agr tu mera
 tou such mein bhi apne khabon ki taabeer krta
(Nazim ali)


usay dekhta tha aaina

اس ایک شخص کی سج دھج غضب کی تھی کہ فراز
میں دیکھتا تھا، اسے دیکھتا تھا آئینہ

Us aik shaqs ki sajj-dhajj ghazab ki thi k Faraaz
MaiN dekhta tha, usay dekhta tha aaina
 
 
 

bazaron main chehray

kaghaz k ye phool b ab tu khilnay lage hain

bazaron main chehray b ab milnay lage hain


Tanhaiyaan Mujhe De do

Bikharti Zulf Ki Pervhaiyaan Mujhe De Do,

Tum Apni Shaam Ki Tanhaiyaan Mujhe De do

Shaam Raigaa Jaye


بچھڑ کے تجھ سے یہ سوچوں کہ دِل کہاں جائے؟

 
سحر اُداس کرے شام رائیگاں جائے

Bichar Ke Tujh Se Ye Sachon K Dil Kahan Jaye ..??
Sehar Udas Kare Shaam Raigaa Jaye
 



mere dil ki talashi


اپنے سوا بتاؤ کبھی کچھ ملا بھی ہے تمہیں
ہزار بار لی ہے تم نے میرے دل کی تلاشی

apne siwa batao kabhi kuch mila bhi hai tumhen
hazar baar li hai tum ne mere dil ki talashi

 

Ache Lage Hum Ko

Hum Un ko Soch Mein Gum Dekh Kar Wapis Palat Aaye 

Wo Apne Deyan mein Beathe Hoye Ache Lage Hum Ko 

 

Usay Batana K

Usay Batana K Uski Yaadon K Saray Safhay Jala Chuka Hoon
Kitaab-E-Dil Main Raqam Thy Jitnay Wo Baab Saray Jhulas Gaye Hain

Yeh Aag Khamoshion Ki Kaisi Tumhari Aankhon Main Tairti Hai
Tumharay Honton Pe Darj Thy Jo Nisaab Saray Jhulas Gaye Hain


Har baar uThanay

Naghma wahi bajta tha magar saaz naye thay

Har baar uThanay ko tere naaz naye thay


wo parenda bhi

ikk niwale k lie main ne jise maar diya ...

wo parenda bhi kai rooz ka bhoka nikla....



Siyah Raat hai S



سیاہ رات ہے سایا تو ہو نہیں سکتا

یہ کون ہے جو مرے ساتھ ساتھ چلتا ہے
 
Siyah Raat hai Sayaa Ho Ni Skta 
Ye Kon Hai Jo Mere Sath Sath Chalta Hai 



Tanhai Thi..

Shab e Furqat Ajab Ik Anjuman Araai Thi,

Dard Tha, Mein Tha, Teri Yaad Thi, Tanhai Thi..

intiha ker di

baRay sakun se rukhsat to ker diya unko

phir uske baad muhabbat ne intiha ker di

aaiinaa ye to bataataa hai

aaiinaa ye to bataataa hai ke main kyaa huuN lekin

aaiinaa is pe hai Khamosh ke kyaa hai mujh mein

bhulaa do,


بھلا دو، رنج کی باتوں میں کیا ہے
ادھر دیکھو! مری آنکھوں میں کیا ہے


bhulaa do, ranj ki baatoN meiN keya hae
Idher dekho! meri aankhwN meiN keya hae
 
 
 

'Woh' Gun'Gunayen Mujhay

GhaZal K Roop Main Dhal Jao'n Kaash Main Bhi Kabhi 

Udaas Lamhon Main Shayad 'Woh' Gun'Gunayen Mujhay

Darhaqeeqat paarsa too bhi nahi


جرم کی نوعیتو ں میں کچھ تفاوت ہو تو ہو
در حقیقت پارسا تو بھی نہیں میں بھی نہیں


Jurm ki noiyatoN meiN kuch tafawut ho to ho
Darhaqeeqat paarsa too bhi nahi maiN bhi nahi

Bikher gaya hai


بکھر گیا ہے جو موتی پرونے والا تھا
وہ ہو رہا ہے یہاں جو نہ ہونے والا تھا


Bikher gaya hai jo mouti pirone waala tha
Wo ho raha hai yahaN jo na hone waala tha

Monday, November 26, 2012

سو جاتی ہوں


بارش کی بوندیں جب
شام ڈھلے
میرے کمرے کی
کھڑکی پر
اپنی پائل بجاتی ہیں
جب ٹھنڈی ہوائیں
میری طرف
اپنی بانہیں پھیلاتیں ہیں
جھلمل کرتی بارش کی
جلترنگ میں کھو جاتی ہوں
ہوا کو بنا کے
ساتھی اپنا
اس کی بانہوں میں
سو جاتی ہوں



is lahar ke piichhe

is lahar ke piichhe bhii ravaaN hain naii laharen

pahale nahiin sochaa thaa jo ab soch rahe hain


tere baare main jab socha nahi tha

tere baare main jab socha nahi tha
main tanha tha magar itna nahi tha

teri tasveer se karta tha batein
mere kamre main aina nahi tha

samunder ne mujhey pyasa kiya tha
main jab sehara tha pyasa nahi tha

manane ruthney ke khel main hum
bhichad jayenge ye socha nahi tha

suna hai band kar li usne ankhein
kai raaton se woh soya nahi tha



bhulany k liye hain

laal-o-gauhar ke Khazaane hain ye saare aaNsuu

koii aaNkhon se churaa le na tumhaare aaNsuu

><><><><><><><><><><><><><><><

ye omer ka soda ye kitabain ye rasaly
ik shkas ki yadon ko bhulany k liye hain 

 

Ga Wo Gul Hai, Daag Nehin

Mile Kuch Aise, Juda Youn Hoye K Faiz Abb Ke
Jo Dil Pe Naqash Bane Ga Wo Gul Hai, Daag Nehin


 


udas ho to acha nhi lagta.

Us k ik ik lamhe ki hifazat krna ay mery Khuda.

Masoom sa chehra he, udas ho to acha nhi lagta.


 

hansa ho ga

Saleeb'e'waqt py main ny pukara tha mohabat ko

Meri aawaz jis ny bhi suni ho gi hansa ho ga



Tasveer Main Thehra Hoa

Yun Guzarti Hai Nigahoon Sey Ge Waqatoon Ki Yaad

Jis Tarah Dariya Kisi Tasveer Main Thehra Hoa


Us K Chale Jane Ka !!!!

Asman K Taray Aksr Pocha karte Hain
Kia Tumhein Ab Bhi Intezar Hai
Us K Lot Anay Ka
Aur Dil Muskra K Kehta Hai
Mujhe Tu Ab Bhi Yaqeen Nhi
Us K Chale Jane Ka  !!!


Hai kya teri pehchan

Tu kaun hai,, hai kya teri pehchan
Socha maine khud se puchu aaj
Kabhi tu andekha sa khwaab hai
Kabhi pyari si haqiqat,,,
Kabhi tu dua hai

Aur kabhi ek ankahee si khwahish
Kabhi tu sabse door hai
Aur kabhi mere sabse karib
Kabhi tu roshani hai
Kabhi meri hi parchai
Kabhi lage tu mujhe shararat
Agle hi pal tu lage sachai
Kabhi mere dil mein chupa raaz hai
Kabhi kisi ke chehre ka andaaz hai
Kabhi tu mere kal ka hissa
Kabhi mere aaj ka kissa

Kabhi tu meri aankhon mein hai
Kabhi meri baaton mein bas tu hai
Kabhi tu meri chahat hai
Kabhi tu meri aadat hai


Kabhi tu thandi shaam hai
Agle din ki pyaari subah hai
Kabhi ek aansu hai
Kabhi natkhat muskan
Shayad khud se anjaan
Kabhi tu mera pyar hai

Kabhi tu meri jaan
Mera kuch armaan hai
Naa jaanu main kaun hai tu
Kya teri hai pehchaan


Bas jaana hai maine itna
Dil ne maana hai tujhe apna
Tu jo bhi hai bahut khaas hai
Iss dil ko tujhpe vishwas hai

Nahi janna kaun hai tu
Kya hai teri pehchan
Tu mera kal tha aur
Tu hi mera aaj hai
In aankhon ki gehrayi
Mein chupa
Ek anjana sa raaz hai…..
 
 
 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...