Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, November 28, 2012

Kahin be kinar sy ratjagay !!

Kahin be kinar sy ratjagay!!
Kahin zar nigar sy khawab sey...
Tera kia asool hai zindagi???
Tujhy kon iska hisab dey???

Jo bicha sakon tery wastay,
Jo saja sakon tery rastay!!
Meri dastras main sitary rakh,
Meri muthiyon main gulab dey...

Ye jo khwishon ka parind hai,
Isy mosamon sy gharz nahin,,,
Ye uray ga apni he mouj main,
Isy aab dey k saraab dey!!!

Tujhy choo liya to bharak uthey!
Mery jism-o-jaan main charagh sy,,
Isi aag main mujhy raakh kar!
Isi shoulgi ko shabaab dey...

Kabhi yun bhi to ho, tery rubaro!
Main nazar mila k ye keh sakon,,
Meri hasraton ko shumar kar,
Meri kwishon ka hisab dey!!

Teri ik nigah k faiz sey
Meri kasht-e-harf chamak uthi,,
Mera lafz lafz ho kehkashan,
Mujhy aik aisi kitaab dey...!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...