Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, August 13, 2012

Woh ajeeb mousam tha

Woh ajeeb mousam tha
Ham ne kore kaghaz par

Apne khawab likhe the


Ham ne khawab dekhe the


Ankahi kahani k


Haruf sab duaa se the


Dard k bulawe the


Dil ki hukmrani thi


Duur afaq kanaron tak


Rahguzar hamari thiAngint zamano main


Sans le rahe the ham


Ajnabi jazeron main


Naqshpa hamare the


Aankh main theen tahreren


Bepanah jalwon ki


Chandni k lahjye ne


Ham se guftgu ki thi


Zindagi ka har manzer


Lamha lamha jaga tha


Pahli baar hi ham ne


Zindagi ko dekha tha


Rooz wa shab k male main


Khawab hi to sache the


Khoof hay to itna hay


Faasloon k junghal main


Khawab kho bhi jate hain..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...