Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon
Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon. |
Nazim's poetry
Thursday, April 19, 2012
Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment