Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, April 21, 2012

Mat poochh mujhe


Mat poochh mujhe iss tasweer mein kya rakha hai
bholi si aankhon mein sansaar racha rakha hai
inn ankhon se jhalakte sawalon mein,main hoon
tumne khud mein kahin mujhko chhupa rakha hai
jab bhi laati hoon aks tera khud ke khayalon mein
paa jati hoon her taraf raah,ghane baadalon mein
muskaan teri mujhko bahut suhati hai
zameen meri kahin tham si jaati hai
yeh honth tere kuchh na bol kar bhi bol jaate hai
sunna chahti hoon jo main woh ras kaanon mein ghol jaate hai
dekhte ho iss tarah ki badh kar utha loge mujhko
jab bhi hogi pareshan seene se laga loge mujhko
jab bhi tasweer teri aankhon ke saamne laati hoon
band kar ke aankhon ko bahut sukoon paati hoon
mat poonchh mujhe iss tasweer mein kya rakha hai
teri aks ne mere khayalon mein mera khawaab saja rakha hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...