Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, April 21, 2012

Durr reh kar bhi tujh se mohabbat karna


Durr reh kar bhi tujh se mohabbat karna mujhe achcha laga
tu bata aakhir tujhe yeh waqiya kaisa laga
itne fasley mein bhi hai teri qurbat ke maze
mujhe se milna tujh ko chahna mujhe achcha laga
raakh uddne lagi hai mann mein jalti bujhti yaadon ki
shaam dhale teri yaad ke deep jalana mujhe achcha laga
kaise kahun tere bin ddasti hai mujhko tanhai
teri ulfat teri furqat mein rat-jaga mujhe laga laga
woh aanchh thi hawa mein ke kali tak sulag gayi
aise mein tera ghata ban ke barsna mujhe achcha laga
faasle miitt na paayeinde in durriyon ke kabhi
tasweer mein tera aa ke dil ko behlana mujhe achcha laga
chheen li neend jab aa ke tare khayalon ne
teri tasweer pe chhupke se hotho ko rakhna mujhe achcha laga.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...