Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, April 18, 2012

ghalat aaj Nishaana mera


Manzar-e-Aam pe aa jaata FaSaana Mera 
Kaash ho jaata ghalat aaj Nishaana mera 

Aah kis TooTe huye dil ne mujhe yaad kiya 
Dard ka phool mahaktaa hai puraana mera 

Aarq ne saare nasheman ko jalaa daala hai 
Haaye kis shaakh pe ab hoga Thikaana mera 

Gar yaqeeN tumko na ho Sang uThaao mujh par 
Aake wo khud hee kahegaa hai deewaana mera 

Kitne logon ko Mere yaar garaaN guzraa hai 
Teri mehfil mein kabhee bhool se aana mera 

Gham, alam, dard, sitam, soz, jafaa, ruswaaee 
Bus InheeN lafzoN mien Gum hai taraana mera.


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...