Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, March 14, 2012

Mujh Sey Sawal Karna Kaha Tha Main Ney

Bichr Key Mujh Sey Na Zindgii Bhar 
Udas Rehna Kaha Tha Main Ney
Jo Ho Sakey To Tamam Yaadien 
Samait Layna Kaha Tha Main Ney
Phir Aaj Apni Wafa Key Daman Mein 
Zakhm Ley Kar Udas Kyon Ho
Muhabaton Ki Rutton Mein Apna
 Khyaal Rakhna Kaha Tha Main Ney
Wohi Hua Na K Manzilon Ko 
Ganwa Key Tanha Bhatak Rahey Ho
Sambhal Key Chalna Farib Dey Ga 
Har Aik Rasta Kaha Tha Main Ney
Milin Kuch Aisy Bhi Zakhm 
Ghehray Bichar Key Jena Muhal Tehray
Na Itni Shidat Sey Zindgii Bhar
 Kisi Sey Milna Kaha Tha Main Ney
Main Ab Bhi Nafrat Key Zehar
 Ugalti Fiza Mein Tanha Sulag Raha Hn
Tumhary Baad Is Nagar Mein Koii Nahi 
Hai Apna Kaha Tha Main Ney
Aur Ab To Dono Hii Apni Apni
 Wafa Key Raizon Ko Chun Rahey Hain
Zamana Pathar To Pyar Apna Hai 
Aik Sheesha Kaha Tha Main Ney
Bata "Tabasum" Jawaab Sun Kar
 Nazar Kyon Khamoshi Sey Jhuka Li
Gaye Dinon Ka Kabhi Na Mujh Sey
 Sawal Karna Kaha Tha Main Ney

Image

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...