Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 10, 2012

Main bhala kon hoon

main bhala kon hoon
tum ne daikha hai kabhi meri taraf
kon hoon main
kitni mazboot nazar aati hoon (bazaahir)
kabhi bargadd ke ghanay pairr ke saaey jaisi
kabhi ustaada makaan ki soorat
aur kabhi naram bichhonay ki tarah
subah ki lau ki tarah
tund mojon mein muhabbat ke kinaaron ki tarah
kon hoon main
tum ne daikha hai kabhi mairi taraf
aanhk se door kahin rooh ke teh-khaanay mein
tootay phootay se khilonay apnay
main ne tum sab se chhupa rakhay hain
tumhay maloom hai mujh mein koi kehta hai
rooh ke qufal ko torron ik din
apni khuwahishon ka dereecha kholoon
aur ji bhar ke khuli hawa mein khailoon…

Image

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...