Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 10, 2012

Kuch to ay yaar ilaaj-e-ghum-e-tanhaai ho

Kuch to ay yaar ilaaj-e-ghum-e-tanhaai ho
Baat itni bhi na barh jaaye ke ruswaai ho

Doobne wale to ankhon se bhi kab nikle hain
Doobne k leay lazim nahen gehraai ho

Jis ne bhi mujh ko tamasha sa bana rakha hay
Ab zaroori hai wohi shakhs tmashaai ho

Ma tujhe jeet bhi tohfe ma nahi de sakta
Chaahata ye bhi nahi hoon airi paspaai ho

Aaj to baz'm ma har aankh thi pur'num jaise
Daastaan meri kisi ne yahaan dohraai ho

Koi anjaan na ho shehr-e-mohabbat ka makeen
Kaash har dil ki har ik dil se shenasaai ho

Yoon guzar jaata hay tere kooche se
Tera waaqif na ho jaise koi saudaai ho


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...