Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, February 7, 2012

ke qalm jab harf ugalti hai

Main jaanti hooN

Barhaa youn bhe hota hai

ke qalm jab harf ugalti hai

in meiN chhupe anmol jazbe

apni beqadri se preshaN

shakasta haal se lagte haiN

to kitne bemol ho jate haiN

aur mujhe maaloom hai

ke aisa bhe hota hai

ke dewaar e khayal se

ser paTkhte ser Tukrate

ye shor machate baghi lafz

jab rah e farar pate haiN

nok e qalm se phisal ker

safha e kitaab pe aate haiN

to kitne seham se jate haiN



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...