Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, November 28, 2011

Shaoq-e-Awargi Mein Kiya Na Hua

Shaoq-e-Awargi Mein Kiya Na Hua
Ek Tera Hi Samna Na Hua

Harf-e-Matlab Na Aasaka Lab Par
Mutmaen Hain Koi Khafa Na Hua
...
Us Kay Aanchal Ko Choo Rahi Hai Saba
Waye Qismat Main Saba Na Howa

Dil Mein Noha Kanaa Raha Ek Gham
Ghar Apna Kabhi Be Sadaa Na Howa

Naa Khuda To Humen Dabu Deta
Khair Guzri Kay Woh Khuda Na Hua

Hum Pe Is Ehd-e-Kam Nigahi Mein
Kon Sa Jor-e-Naarwa Na Hua

Ab To Hum Khaak Ho Chuke "Jalib"
Ab Humara Koi Howa Na Hua






No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...