Nazim's poetry

Nazim's poetry

Sunday, November 27, 2011

Main Soch Sakta Nahi Tha Kisi Haseen Kay Sath

Main Soch Sakta Nahi Tha Kisi Haseen Kay Sath
Woh Laot Aayega Is Qadar Yaqeen ky Sath,
...
Ujar Kay Jaaen To Saaye Kai Sakonat Ky
Makan chor Diya Karte Hain Makeen Ky Sath,

To Jao Shaher Mein Lakhon Ganawaar Pherte Hain
Agar Pasand Nahi Rehna Mujh Zahen ay Sath,

Yeh Aag, Pani, Hawa Mujh Ko Zaya Kar Deinge
Isi Liye To Main Wabasta Hoon Zamen ay Sath,

Bas Ab Tamaam Haden Sabar Ki Tamaam Hwein
Boht Guzara Kiya Maine Tujh Lain Ky Sath,

Main Waeszun Ki Kisi Baat Ka Asar Kiya Loon
Fareb Karte Hain Jo Aap Apne Deen Ky Sath,

Yeh kaise Rafaqat Mein Aagiya Hon Main
Lipat Rahe Hain Kai Saanp Asteen Ky Sath.






No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...