Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, September 9, 2011

Yadon ka safar chal raha hai,

Yadon ka safar chal raha hai,
yeh ek aisa karvan hai,
zindagi ke sath ko chodta nahi,

Yaadein meedhi bhi hai,
dard bhari bhi hai,
In par kisi ka rok nahi chalta hai,

Main aaj bhi tumhein yaad karti hun,
Yeh kehne ko koi nahi hai,
Par yeh mera dil to hai,

Jo meri sunta hai, 
Jo mujhe samajhta hai
,Jo mujhe janta hai,

Ki meri khushi kahan hai,
Aur kahan main dukhi hun,
Yehi ab zindagi ka sathi hai,

Yehi meri yaadon ka sahara hai,
Yeh bhi jis din nahi sunega,
Woh din zindagi ka akhri din hoga,

Tumhare bin zindagi jeene
,Ka koi matlab nahi hai,
Par bahut apne se hai,

Jinko nahi khona chahte hai,
Isliye jiye jaa rahe hai,
Unke liye hase jaa rahe hai,

Ab toh yaadein hi sahara hai,
Isliye dil se baatein kar ke,
Markar bhi jeeye jaa rahe hai!!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...