NIGAAHO KE SAAYE………..!
Aaina ho ya haqqiqat rahti teri hi chhavi harsu
Jahaan bhi jaau ghere teri hi nigaaho ke saaye
Kabhi phoolo me kabhi patto me dekhe tere saaye
Aasma ko lapet lete haiye baadal ghanere
Mujhe ghere rahte hai teri baanho ke saaye
Jaise hawa nadi ka badan choomti hai
Jaise pahado ko chanchal kiran choomti hai
Mehsoos ye hota hai har su hai muhabbat ke saaye
Dadkate hai dil seene me kitni aazadiyo se
Kitne milte julte hai in haseen vaadiyo se
Dekhu to har taraf hai teri hi chaho ke saaye
Bahut thandi thandi hai ye hawayen
Darakhto ke ghani chhaw ke thande saaye
Dil ko lubhaye pass bulaye chain churaaye
Inn hassen vadiyo me muhabbat ke rangeen pnaho ke saaye
‘Sara’ alam mehaka-mehaka sa lage kitne haseen hai tere saaye
TERI HI SAPANOO ME………..!
Hum tere sundar sapnoo me jeete-marte hai subah-o-sham
Tere har haseen khayalo se guzarte hai subah-o-sham
Ye guzare waqt terenaye zakham ubharte hai subah-o-sham
Sadiya guzar gai hai hume tumse wafa kiye
Meri yaado me rahte ho tum aaj bhi subah-o-sham
Raat reh-reh ke chauk-chauk mai need se jaagu
Ban-ban kemere sapne bikharte hai subah-o-sham
Jab jab bhi teri yaado ki ghata dil par chhai hai
Badal mere aankho se baras jaate hai subah-o-sham
Lamha lamha dekhu mai usski hi rahguzar ko
Nayna usske deedar ko tarse hai ab to subah-o-sham
Na pooch ab kya aalam-e-khawab-o-umeed hai
Angaare se seene me dehkate hai subah-o-sham
Kabhi kabhi chand sath rehta hai
Chandni bhi bikhri bikhri si rehti hai
Kabhi kabhi khwab muskuraate hai
Naye rango se saze saze se rehte hai
Kabhi kabhi pau bhi ladkhdate hai
Khushi ke nashe me doobe doobe se rahte hai
Kabhi kabhi bahar sath rehti hai
Khiza ke phool bhi khile khile se rehate hai
Kabhi kabhi khumaar sath rehata hai
Hosh me rehkar bhi hosh ude ude se rahte hai
Kabhi kabhi koi gunjan sath rehta hai
Bhawre bhi gun gunate se rehte hai
Kabhi kabhi kawal bhi khila rehta hai
Samander me lehar lehar si rehti hai
Kabhi kabhi raat bhi muskuraati hai
Rajnigandha si mehki mehki rehti hai
TERE PYAR KI CHUUNAR ————-
Mujhe teri baanho ke ghere me rahne de
Mujhe tere komal sapno ko sajone de
Teri raaho me nayno ko yu hi bichhane de
Sanaate me tere geet gungunane de
Meri baanho ko tere gale ka haar rahne de
Tere payar ki chuunar me mujhe lipat jaane de
Teri sanso ki khusbu se mujhe mahak jaane de
Mera jaadu bhi tujh par chha jaane de
Inn kaale badalo ko aaj baras jaane de
Aaja tu sang mere aur fir hume bheeg jaane de
Kaarwa chala to hai sath tere hi fir bhi
Mujhe bhi uska musafir ban jaane de
Tere payar ke pankh laga ke duniya ke sair par hu
Thake musafir ki tarah teri panaho me mujhe so jaane de
Mere 'jaanu' na rakh ye hath mere hotho pe
Mere tasavvar ke har lamhe me tum aa jaate ho
Mere khamosh dil ko anjaane me tum tadpa sa jaate ho
Iss daaman me to bas tere hi sapno ke guuche hai
Pass aake tum saanso ki khusbu se mehka jaate ho
Milte hi tum kahte ho chand kanha se aaya hai
Sun ke tareefe nazre palko ke chilman me chhup jaate hai
Dil par hath rakh kar yu kahna ay meri hushn ki mallika
Kasam teri in lafzo me hum apni jannat ka sair kar aate hai
Inn khushq fizao me bhi ghanghor ghata chha jaati hai
Yu kahna tera chehre par jab bhi tere ye geshu lehra jaate hai
Iss veeraane se aashiyane me bahaar sii laut aati hai
Jab bhi dil ke darwaaze par tum dastak de jaate ho
Jii udhti hu mai jab bhi tu iss tarah izhaar-e-mohabbat kare
Ye kaaynaat bhool kar ek pal me hum to sadiyo ko jee aate hai
Tera deewan hu jab tu in alfaajo ke missri kaano me ghoole
Iss jahaan se duur hum to khud ko falak me paate hai
No comments:
Post a Comment