Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, September 7, 2011

Marna chaha toh mujhe qatil na mila,

Marna chaha toh mujhe qatil na mila,
Mere dard me koi mujhe shamil na mila.
Ab kyun kisi ki talaash me jau kahin,
Mera dil he pyar ke mujhe kabil na mila.
Apno ke kehne se mainey muskurana suru kiya,
Tanhaayi ke un lamho ko bhulana suru kiya.
Par dekho aaj kya asar hua hai jhuthi muskaan ka,
Ek muddat se sehme mere dil se kisi ne nazrein milana suru kiya.

Jo main muskuraya toh usney iqraar samajh liya,
Dil ka haal sunaya toh usney raazdaar samajh liya.
Isey gunaah kahu ya meri khafa ho chuki kishmat,
Meri is dosti ko usney pyar samajh liya.


Voh saamne aaye toh ussey nazrein churata hu,
Har pal khud ko ussey door kiye jaata hu.
Gila ye nahi ki usney mujhe he kyun chuna,
Dard ye hai ki main khud ko bhi uski jagah paata hu.

Kya batau ki ek shakhs ko mainey abhi bhulaya nahi,
Naye gharonde ka khwab aankho me mainey abhi sajaya nahi.
Ho sakta hai pyar he pyar ke zakhmo ko bharta ho,
Par yaadein bhulane ka marham koi mainey abhi aajmaya nahi.

Beete lamho ko bhulane ke liye pyar main kar nahi sakta,
Dilon se khelne wala jhootha iqraar main kar nahi sakta.
Kabhi na khatam hone waale is safar per chal diya hu main,
Is zindgi ko mahobbat ke hawale har baar main kar nahi sakta.

Mana ki yaadon me ro kar mujhe mila kuch nahi,
Par in beete tanha lamho ka mujhe gila kuch nahi.
Tumhari zindgi me raat ke baad din aata hoga shayad,
Par ek muddat se banjar mere dil me khila kuch nahi.

Sehmi uski saanso ko mere dil-e-bimaar ki vajah kya batau,
Bechain uski aankho ko intezaar ki vajah kya batau.
Ab nafrat ho chuki hai mujhe chahat se,
Par najuk uske dil ko inkaar ki vajah kya batau.

Jab manjil he na rahi toh safar beech me chhod aaya,
Bhar kar dard seene me tanhaayi se rishta jod aaya.
Bas ek he gunaah baki reh gaya tha meri ish zindgi me,
Zakhmi apne haatho se main bhi ek dil tod aaya.

Dil tootne ka jo hai dard mujhe pata hai,
Door se dekhne wala jo hai bedard mujhe pata hai.
Majboor hu main bhi apne dil ke haatho e yaar,
Par tere dil ki halat jo hai mere humdard mujhe pata hai.

Ab kabhi kisi rishte ko chahat ka main naam na dunga,
Apne dil ka haal bayan karta ab koi main paigaam na dunga.
Apne gunahon ki saza ab main khud he chuna karunga,
Ab kahbi apni kishmat ko berehmi ka main ilzaam na dunga.


Mainey apni zindgi ka ek kissa keh sunaya hai,
Ab ye batana apne mujhe gunehgaar kaha tak paaya hai.
App na bata sako toh apne khuda se pooch lena,
Usney sazaa ke liye konsa jariya banaya hai…


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...