Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, July 20, 2011

Mohabbat Dukh Nahi Deti

Mohabbat Dukh Nahi Deti
Mohabbat Maan Hoti Hay
Kesi Ki Jan Hoti Hay
Kesi Ka Deen Mohabbat Hay
Kesi Ka Emaan Hoti Hay
Mohabbat Chaaon Jesi Hay
Mohabbat Shaan Hoti Hay
Mohabbat Dukh Nahi Deti
Kabhi Socha Hay Tum Nay Ye ?
Achanak Ak Aam Sa Insaan
Hamay Kyun Bha Sa Jata Hay
Hamaray DIL Pay Us Ka Aks
Kesay Cha Sa Jata Hay
Hamara Ikhtiyaar Khud Per
Khatam Honay Kyun Lagta Hay
Usay Hi Sochtay Rehna
Usi Ko Chahatay Rehna
Usi Ko Har Khushi Dena
Or Us Ka Ghum Chura Laina
Hamara Kaam Rehta Hay
Ye Sab Yon Hi Nahi Pyaray
Ye Jazbay Jis Ko Ham
Koii Naam Denay Say Jhijhaktay Hain
Mohabbat Naam Hay es Ka
Dilon Ko Jorr Kar Rakhna
Faqat Ye Kaam Hay es Ka
Ye Tum Say Keh Dia Kis Nay
Mohabbat Kuch Nahi Deti
Meri Ak Baat Sun Lo Tum
Mohabbat Sab Kuch Deti Hay Mager !!
Mohabbat Dukh Nahi Deti



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...