safar tanha nahi kartey 
suno aysa nahi kartey 
jessey shaffaaf rakhna ho 
ussey maila nahi kartey 
teri aankheyn ejazat dain to 
hum kiya kiya nahi kartey ? 
bohat ujrey huway ghar per 
bohat socha nahi kartey 
safar jis ka muqqadar hoo 
usey roka nahi kartey 
jo milkar khud se kho jaey 
usey ruswa nahi kartey 
chalo tum raaz ho apna 
tumheyn affshan nahi kartey 
ye ounchey paer kesey hain 
kahin saya nahi kartey 
jo dhhun ho kar guzarney ki 
to phir socha nahi katey 
kabhi hansney se dartey hain 
kabhi roya nahi kartey 
teri ankon ko partey hain 
tujhey daikha nahi kartey 
sahar se pooch lo Mohsin 
keh Hum soya nahi kartey

No comments:
Post a Comment