Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, May 6, 2011

Abhi waqt hay mujhay chor ja

Abhi waqt hay mujhay chor ja
Abhi maslihat ka muqaan hay
Abhi qafloon ka qayam hay
Abhi dastaras main hay zindagi
Abhi chasm-e-nam main hay roshni
Abhi naqash-e-paa ko sabaat hay
Abhi kuch he dair ki baat hay
Abhi waqt hay mujhay chor ja
Abhi gard rah say urri nahi
Abhi kirchiyoon main batay nahi
Abhi har nazara haseen hay
Abhi subh-e-no ka yaqeen hay
Abhi hum kinaroon pay hain kharay
Abhi waqt hay mujhay chor ja
Ye safar nahi azaab hay
Yahan har qadam pay saraab hay
Yahan bad gumani ka raaj hay

Yahan bay-wafai rivaaj hay
Abhi hosh khonay kay din nahi
Abhi teray ronay k din nahi
Abhi waqt hay mujhay chor ja
Abhi sari nagri andher hay
Abhi din nikalnay main dair hay
Abhi behar-e-ishq main na utar
Abhi shaher sara hay bay khabar
Abhi waqt hay mujhay chor ja
Abhi waqt hay mujhay chor ja

2 comments:

  1. This poem is the copy of Shafiq Ahmad Khan's famous poem:

    Abhi waqt hai meray saath chal
    Abhi paon main hain musafatain
    Abhi raaston peh garift hai
    Abhi hath rakha hua hai waqt ki baag per
    Abhi meherbaan hai rahguzar bari door tuk
    Abhi raastay bhi nahin utay huay hain ghubar main
    Abhi hoslay hain jawan meray
    Abhi dil main chalnay ka shoq hai
    Abhi manzilon ka yaqeen hai to junoon bhi hai urooj per
    Yahan aik jahan main jaanay kitnay jahan hain

    Abhi daikh apni umeed kay kisi baadban ko khol ker

    Yeh jo kishtiyan si rawan hai seena-e-aab per Isi aag ki hain nishaniyan yeh musafatain
    Koi hijraton main suna gaya hai basharatain

    Abhi waqt hai meray saath chal

    ReplyDelete
  2. Abhi sang e meel atay nahi hain ghubar mein

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...