Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, May 28, 2011

Ab lOat Chaltay hAin


Chalo Na
Chalo Na Ab lOat Chaltay hAin
Usii Rastay Usii Manzil Kii Jaanib
Jahan Sab Kuch Apna Tha
Jahaan SapnOun Kii dUniya Thi
Jahan tUm Thay Main Tha Aur Khwaab Thay
Jahan Zindgii Thii Na Yeh WehshatOn Kay Azaab Thay
Sunehrii dhOop BaadalOn Ki Oat Aur PhOolon Kii KhUsbOo
Jahaan Bahaar Ka hUsn KhUd Mein Samaitay
hUm Kitnay KhUsh Thay
Na Yeh Be-Kalii Thi Na Uandaishay Na Saraab kOii
tO Phir Aao Na Chalo Na
Chalo Na Ab lOat Chaltay hAin

K Ab Thak Chukii Har Aankh Rasta Dekhtay
K Ab tO WaQt Kii Har Saans hUm Par AansOo Baha ChUkii
Dekho Na , Suno Na
Main Ab Bhi Wapisi Kii Aik KaShtii Nazar Mein Rakh Aaya hOn
mUjhay MalOom hAi Yeh Safar KhOobsOorat Sahii
Magar Yeh KhUshii Yeh SakOon Yeh Chahat
Mustaqil Nahien
K Aik Din Aaye Ga
jAb tUm Bhi Thak jAi Gey
Kaho Gey mUjhay Yahi Sab
Suno Gey Aik "NA" Meri
tUmhien Bhi WaQt Kii Aawaaz Sunaii Dey Gii
Kaho Gey mUjh Say Yahii Sab
Chalo Na ! Chalo Na !
Ab lOat Chaltay hAin


 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...