Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, April 4, 2011

Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai

Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai
Main ney kaha sitaron ka koi
shumar nahin
Us ney kaha k kon tumhin hai bohat aziz ?
Main
ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai
Us ney kaha Kon sa Tofah
tumhin main doon
MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai
Us
ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz
Main ney kaha, qurb ka matlab
bahar hai
Us ney kaha senkron gham zindagi main hain
Main ney
kaha gham nahin, jab ghamgasar saath hai
Us ney kaha saath kahan
tak nibhaon gay
Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai
Us
ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah
Main ney kaha, naam mera
aetbaar hai......

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...