Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 10, 2011

Wo tau aina numa tha mujh ko

Wo tau aina numa tha mujh ko
Kis liye es sai gila tha mujh ko

Dein gia umr kee tanhayi mujhey
ek mehfil mein mila tha mujh ko

tum mujhi chor sako pat jhar mein
es liye phool kha tha mujh ko

tum ho markaz meri tehriron ka
tum nai ek khat mien likha tha mujh ko

mein bhi karti thi baharon ko talash
ek soda sa hua tha mujh ko

ub pashemaan hain duia wale
khud hee masloob kia tha mujh ko

ub dharkata hai magar surat dil
zakham ek tum nai diya tha mujh ko

Ub jo nazron sai gira do tau kia
tum nai ankhon pein rakha tha mujh ko

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...