unkee tasveer jab aankho'n mein utar aaee hai
maine taareek fazaa'on mein ziyaa paaee hai
husn jab hone lagaa maail-e-ilfaat-o-karam
ishq kee jaan pe kuchh aour bhee ban aaee hai
aaj tak meree nigaaho'n ko mayassar na huee
log kahte hain gulshan mein bahaar aaee hai
ab zamaane kee khabar hai na khud apnaa hee pataa
meree vahshat mujhe kyaa jaane kahaa'n laaee hai
ai nigaah-e-ghalat andaaz teree umr-daraaz
zindagee ab gham-o-aalam kee shaidaaee hai
ab to aajaa gham-e-hastee ke mitaane vaale
bas teree yaad hai main hoon shab-e-tanhaee hai
main shab-o-roz piyaa kartee hoon aksar ''meena''
mere saaghar mein nihaa'n baad-e-meenaee hai
No comments:
Post a Comment