bicharna tha bohat pehley bichartey
ye rasta akhiri tha saath chaltey
miley they rah main apney paray
kahee.n ruktey, kisi sey baat kartey
abb aankhain khushk saali ka nishaa.n hain
ye badal raat din kab tak barastey
badaltey mousamoo.n main khirkiyoo.n sey
bohat logoo.n ko dekha saath chaltey
dhwaa.n hai roz-o shab dam ghutt raha hai
tum aa jatey tu mehr-o maah nikaltey
na miltey tum tu wehshat main guzarti
dar-o dewaar k phandey na partey
akeley main ghazal kehney ko keh li
moaani jab wo suntey , tab nikaltey
No comments:
Post a Comment