Apni rusavai tere naam ka charcha dekhoon
ek zara sher kahoo aur main kya kya dekhoon
Neend aa jaaye to kya mahafilein barpa dekhoo
aankh khul jaye to tanhai ka sahara dekhoo
Shaam bhi ho gai dhundhala gai aankhein bhi meri
bhoolane wale main kab tak tera rasta dekhoo
Sab ziden us kee main poorri karoo har baat sunoo
ek bachche kee tarah sai oose hansta dekhoo
Mujh pe cha jaaye vo barasat kee Khushboo kee tarah
ang ang apana usi rut mein mahakata dekhoon
Tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
jee mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhoo
Main ne jis lamhe ko poojaa hai oose bas ek baar
khvab ban kar teri ankhon mein utarata dekhoo
Tu mera kuch nahin lagata hai magar jaan-e-hayat
jaane kyon tere liye dil ko dhadakata dekhoo
No comments:
Post a Comment