Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, April 11, 2012

jisse pyar kehte hain


kya kahe uss yaar ke baare me hum,
jisse pyar kehte hain
kya kahe uss jeet ke baare me hum,
j
isse haar kehte hain.

aankhon ke hain ishaare bass,
jisse izhaar kehte hain
do pal ke hain nazare bass,
jisse pyar kehte hain.

dil me hain kuch baaten aaj bhi,
jinhe sab raaz kehte hain
dil me hain wo pyar aaj bhi,
jise sab sirf yaad kehte hain.

dua nakalti hai aaj bhi dil se,
jise sab sirf baat kehte hain
yaadon ki mehfil roz sajti hai aaj bhi,
jisse sab raat kehte hain.

labon se nikalte hain lafz jab bhi,
usse hum awaaz kehte hain
dil me dhadakti hai dhadkan jab bhi,
usse hum fariyaad kehte hain.

aankhon se nakalte hain aasnu jab bhi,
usse hum jazbaat kehte hain
saanso se nikalti hai saans jab bhi,
usse hum teri yaad kehte hain.

yaaden hain aaj bhi humare paas,
jisse sab sapna kehte hain
par sapne me dekha usse,
jisse hum apna kehte hain.......



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...