Manzar-e-Aam pe aa jaata FaSaana Mera
Kaash ho jaata ghalat aaj Nishaana mera
Aah kis TooTe huye dil ne mujhe yaad kiya
Dard ka phool mahaktaa hai puraana mera
Aarq ne saare nasheman ko jalaa daala hai
Haaye kis shaakh pe ab hoga Thikaana mera
Gar yaqeeN tumko na ho Sang uThaao mujh par
Aake wo khud hee kahegaa hai deewaana mera
Kitne logon ko Mere yaar garaaN guzraa hai
Teri mehfil mein kabhee bhool se aana mera
Gham, alam, dard, sitam, soz, jafaa, ruswaaee
Bus InheeN lafzoN mien Gum hai taraana mera.
No comments:
Post a Comment