Jamaal-e-yaar ka naksha bayaa kaise karoo.
us husn-e-talab ki taarif mein kaise karoo.
woh masoom jaabin, woh rang-e-hasin
dekho to hoo-ba-hoo ronaq-e-gul-zameen
iss hoor-e-jannat ka didaar mein kaise karoo.
us husn-e-talab ki taarif mein kaise karoo.
use maah-e-vash kahu yaa maah-e-rooh.
dekho to lage maah-e-kaamil-e-amin
usse mein tarq-e-takanaa kaise karoo
us husn-e-talab ki taarif mein kaise karoo.
unke zulf-o-didaa, aur sarm-o-haya
unki har ek ada, jaah fanaa har ada
lapata hoo jahaa mein kanara keise karoo.
us husn-e-talab ki taarif mein kaise karoo.
No comments:
Post a Comment