Bohat gumaan tha mausam shanas honey ka
Wohi bahana bana hai udaas honey ka
Badan ko garh liya zakham ke gulabon se
Tu shok pura kar khush libas honey ka
Fiza mehkne lage roshni jhalakne lage
To yeh nishan hai tere aas pass honey ka
Gulon ke beech woh chehra khila, to har titli
Tamasha karne lagi, bad hawas honey ka
Usy bhi shok tha bewajah dil dukhaney ka
So hum ne khel rachaya udaas honey ka
Naye safar pe rawana tou hum bhi ho jate
Bas intizar tha mausam ke raas hone ka
No comments:
Post a Comment