Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, January 23, 2012

aag paani se mil ke dhuyen udaati rahi

yun teri tamanna mere dil ko dukhaati rahi

jab bhi muskurana chaha aankh bhar aati rahi

umeedon ne bana bana ke torhe mere khwaab

baharon mein dil ki, kali khil ke murjhaati rahi....

thar-rati rahi ye sard palken garm ashqon se....

aag paani se mil ke dhuyen udaati rahi

na mila koi sahara aur na thaama kisi ne haath

zindagi kadam-kadam pe thokaren khilati rahi...

ab kuch nahi hai baaki unki chahat ke siva

aise gaye hain wo ke dil ki har khushi jaati rahi

honth to dekhe mere tune muskuraate hue ae sanam

zara dekh lete aankh bhi jo ashq bahaati rahi


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...