Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, December 23, 2011

Woh meri rooh ko shaadaab karta rahta tha

Woh meri rooh ko shaadaab karta rahta tha
Main un dinoN safar E khaab karta rahta tha

Bas eik zikr tera tha jo gaah gaah mujhay
Aseer E halqaa E ahbaab karta rahta tha

Use to zakhm-rutaiN dekhne ki aadat thi
MaiN chaaraa-jooyii ke asbab karta rahta tha

Hum ek ghar ke liye khaar, aur hakim e shahr
Shumar E gumbad O mehraab karta rahta tha

Usay khabar thi K maiN paar utar hi jaauNga
So, kashtiyaaN meri Gharqaab karta rahta tha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...