Duniya ki lambi raahon par,
Hum youn to chalte jate hain,
Kuch aisay loog bi milte hain,
Jo yaad hamesha ate hain,
Wo raah badalte hain apni,
aur murr kar hath hilate hain,
Lekin dilon ki yaadon ko,
Khushboo ban kar mehkate hain,
Aisay hi safar karte karte,
Ek shakhs mila hum ko bi kahin,
Duniya mai achay loog bohat,
Lekin uski si baat nahi,
Thi laag na uskay bolon mai,
Ki baat na koi Lagawat ki,
Uskay Fiqray tootay tootay,
uski aankhain khoi khoi,
Keh kar hi na jaye jo hum chahain,
Socha hi kare bethe bethe,
Par dekhe aisay narmi se,
Ek baar to ho jaye dhoka,
Goo sath hamara khwaab raha,
Usko na hoi pehchan bohat,
Gar bhooj le dil ki baat kabhi,
Ho jata tha Hairaan bohat,
Aur hum uski Hairani par,
Sharminda ho kar reh jate,
Kuch aur hamara Matlab tha,
Phir dair talak usko samjhate,
Ab Chehra uska ho Ujjla,
Ya Aankhain uski hon Gehri,
Ya uskay pyaray honton ki,
Har baat lagay thehri thehri,
Kuch loog jo achay hote hain,
Aur raahon mai mil jate hain,
Hain unko apne kaam bohat,
Kab apna waqt ganwate hain,
KAB PYASE PYASE REHTE HAIN,
KAB JEE KO ROOG LAGATE HAIN...
No comments:
Post a Comment