ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoR ke jaane ke liye aa
pahle se maraasim na sahii phir bhii kabhii tau
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa
kis kis ko bataayeNge judaa’ii kaa sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa
kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa
ek umr se huuN lazzat-e-giriyaa se bhii mahruum
ai raahat-e-jaaN mujh ko rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-Khush-feh’m ko tujh se haiN ummiideN
ye aaKhrii shammeN bhii bujhaane ke liye aa
No comments:
Post a Comment