Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, May 28, 2015

Kya Khob Likha Hai

Kya khob likha hai kisi ne...

Bakash deta hai Khuda unko
Jinki kismat kharab hoti hai

Wo hargiz nahi bakashe jate hai
Jinki neeyat kharab hoti hai

Na mera ek hoga na tera lakh hoga
Na tareef teri hogi na mazak mera hoga

Garor na kar Shah e shareer ka
Mera bhi khaak hoga tera bhi khaak hoga

Zindagi bhar branded branded krne waalo
Yaad rakhna kafan ka koi brand nahi hota

Koi ro kr dil bahlata hai
Or koi hass kr dard chupata hai

Kya karamaat hai kudrat ka
Zinda insaan pani me doob jata hai or murda tair ke dikhta hai

Maut ko dekha to nahi pr shayad wo boht khobsurat hogi
Kambakhat jo bhi uss se milta hai jeena chor deta hai

Gazab ki aikta dekhi logo ki zamane me
zindo ko girane me or murdo ko uthane me

Zindagi me na jane kon si baat aakhri hogi
Na jane kon si raat aakhri hogi

Milte julte baate krte raho yaaro
Ek dusre se na jane kon si mulaqat aakhri hogi...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...