Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, October 22, 2014

Be zameen logon ko

Be zameen logon k0
Be qarar aankhon ko
Badnasib qadmon ko
jis taraf bhi le jain
Raston Ki Marzi Hai
Be nishan jaziron par
Bad guman shehron mein
jis tarf bhi bhatka den
Raston ki Marzi Hai
Rok len ya barne den
Thaam len ya girne den
wasal ki lakiron ko
Tor den ya milne den
Raston Ki Marzi Hai
Ajnabi koi laa ker
Humsafar bana dalen
Sath chalne walon ki
Rakh bhi ura dalen
ya musafaten sari
Khaak mein mila dalen
Raston Ki Marzi Hai
 
 
 

Tuesday, October 21, 2014

Or Aise Hi Kho Diya Use Maine

Kuch Halat Mein Parh Na Ska 
Kuch Wo Alug Thi Nazim

Aise Hi chalti Rhi Zindagi 
Or Aise Hi Kho Diya Use Maine
(Nazim Ali)


Teri Roh Mein Uttar Jao Ga

Tujh Ko Dil main sama kr
Teri Roh Mein Uttar Jao Ga
Aankhon Mein Apni 
Aks Tera Uttaar Lon Ga
Taqdeer Se Teri
Tujhe Cheen Lon Ga
Mohabbat Mein Teri 
Sb Kuch Lota Don Ga
Hath Tera Tham kr 
Duniya Ko Alvida Keh Don Ga
Hawaon Mein Tujhe Le Kar 
Sang Chalon Ga
Khamoshi Ko Bi Apni 
Ek Nia Mor Don Ga
Dekh kr Jall Jaye Gi 
Ye Duniya Nazim
Main Tera Hon Or 
Humesha Tera Hi Rahon Ga
Naam Tere Khud Ko Kar K
 Chain Pao Ga
Gar Ab Bi Yaqeen Na Aye Tu 
Kassam Teri Mar Jao Ga
(Nazim Ali)


Barishein

Yahooooo
Barish
Barishein
Mujh Hi Si Hain
Issi Liye Mujhe Bohttt Pasnd Hain
Jitna Bhi Ro Lo
Kisi Ko Ahsas Tak Nehin Hota
Barish Mein Jitna Bhi Bheeg Jao
Koi Anso Mere Parh Skta Hi Nehin
Jee Mein Aata Hai
Barishein Ye Yuhi Thehar Jayein
Waqt Yehi Tham Jaye
Mere Ander Ka Haal Nazim
Na Kbi Koi Jan Paye
Or
Na Koi Jan Paya Hai
Bass
Yehi Adat Hai
Yehi Chaha Hai
Main Tanha Reh Jaon
Yehi Kehin Barishiyon Mein Reh jaon....
(Nazim Ali)



Dard Hai Mere Lafazoon Mein

Kiss Ko Kahon Main Yahan Kuch Nazim
Baat Meri Yahan Koi Sunta Hi Nehin
Dard Hai Mere Lafazoon Mein
Ye Koi Sumjhta Hi Nehin
Main Kese Kahon K 
Main Ab Main Hi Nehin Nazim
(Nazim Ali)


Tere Ho Kr Rhe Ge

Bohtttttt Muddat Ke Bad 
Mila Hai Tou 
Tere Ho Kr Rhe Ge
Tou Jan Chahe Na Jan 
Hum Tere Hain 
Or Tere Hi Rhe Ge...
(Nazim Ali)


Meri Piyaas Bhujaye Koi

Main Agr Hon Piyasa
Tu Phir
Meri Piyaas Bhujaye Koi
Hai Mera Apna Tu Phir
Apna Pan Dikhaye koi
Hai Gar Dur Tu Phir
Mujhe Pehchane 
Sari Duri Mitaye Koi
Hai Gar Pehchan Chuka
Mujhe 
Tu Phir Nazim
Lag Jaye Mere Gale Se 
Or Mujhe Sumbhale Koi
(Nazim Ali)


Na Mujhe Pehchan Payiii

Na Mujhe Pehchan Payiii 
Wo Itne salon Mein
Na Mujh Ko Wo Jaan Payiii 
Itne Salon Mein
Aajab Tarz Se Wo Pochtiii Thi 
Mujh Se Haal-E-Dil
Jawab Mangtiii Rahiii 
Main Uljhaa Raha Sawalon Mein
Youn Bi Hua 
Iss Duor-E-Aayyan Ke Shabb-O-Roz Mein
Wo Thi Pass Mere 
Jise Dhoondta Raha Khayyalon Mein
Youn Bi Hua Nazim 
Wo Thi Pass Mere
Or Hum Rahe Dobe 
Apne Hi Jawabon Mein
(Nazim Ali)


Jane Kyun Log Badal Jate Hain

Jane Kyun Log
Badal Jate Hain
Sath Chalte Hain Mgr
Yaqeen Nehin Rehte
Ye Batein Kyun Wo
Bhol Jate Hain
Jab Dil Mil Jate Hain
Kuch Baqi Nehin Rehta
Kyun Is Bat Ko
Wo Man Nehin Paate
Louta Kar Jo Sb Kuch
Chal Parte Hain
Kyun Unhein Phir
Raste Mein Chor Jate Hain
Jane Kyun Log
Badal Jate Hain..
Jane Kyun...
(Nazim Ali)


Mere Alfaz Ro Pare Ge

Usi Ne Kaha Hai Mujhe 
Younhi Chup Rehne Ka Nazim
Gar Main Ab Na Bola tu 
Mere Alfaz Ro Pare Ge
(Nazim Ali)


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...