Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, October 24, 2013

udasi ka sabab

us ne phir poocha 
meri khamoshi ka sabab
Is rangeen dunya main 
udasi ka sabab
Is tarha toot ke 
chahne ka sabab
Youn apne dil main 
Basane ka sabab
har lamha us ko 
sochne ka sabab
apne naam Se 
Youn jorne ka sabab
bahoon main rakhne ki 
tamana ka sabab
labon se choone ki 
tamana ka sabab
juda ho jane ka
 dar ka sabab
kho jane ka 
dar ka sabab
bichar jane ka 
dar ka sabab
bhool jane ka 
dar ka sabab
kya kahoon main ......
kya kehta
bas yehi keh saka .....
Ke tum meri ho 
mujhe tum se 
mohabat hai.... 





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...