Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, August 5, 2013

Jo bujha sake to bujha ise

Mere sabar ka na le imtehan,
 meri khamoshi ko sada na de.
Jo tere baghair na ji sake, 
use jeene ki to dua na de.

Tu azeez dil-o-nazar se he, 
tu qareeb rag-o-jan se he.
Mere Jism-o-jan ka ye faisla,
 kahin waqt aur barha na de.

Tujhe bhool k bhi na bhula sakon, 
tujhe chah k bhi na pa sakon.
Meri hasraton ko shumaar kar, 
meri chahaton ka sila na de.

Wo tarap jo shola-e-jan min thi,
 mere tan badan se lipat gayi.
Jo bujha sake to bujha ise, 
na bujha sake to hawa na de.

Tujhe agar milen kabhi fursaten, 
meri sham phir se sanwar de.
Agar qatal karna he to qatal kar,
 yon judayion ki saza na de.



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...