Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, April 13, 2013

Us ka Rooth jana

                              Meri Dastaan-e-Gham Yaaro Pehle Sun To Lo,
Sabar Kis Ko Kehtay Hain Tum Jaan Jao Gay ..





 Maar Daalay Ga Ye Ehsaas Mjy....

Ajnabi Ho Gya Ha Lehja Tera....











Kiyun Laot K Aaey Ho Jab Toot Gea Bandhan
Ab Baat Badhaane Ki Naa Baat Karo Hum Se




Na jaanay kya Masoomyiat thi Us k Chehray par
Us ko Mananay say ziyada Us ka Rooth jana Acha..








Sayah raat main jaltay hain jugnu'on ki tarha
Dilon ke zakham bhi Mohsin kamal hotay hain











Fida Hoon Apki Kis Kis Ada Per....

Adaain Laakh Aur Bay'Taab Dil Ik....






Aansoo, Aahein, Tanhai, Veeraani, or Gham-e-Musalsal,
Ik zara sa ishq huwa tha, kya kya virasat mein de gaye...





Main, Meri Tanhaai Mera Derd Aur Yaaden Uski
Her Raat Aik Takiye Pay Sotay Hain Ikathay...





Mera poochna tujh se
Tumhe kya pyar he mujh se?
Woh tera muskura dena
Nigahon ko jhuka dena
Mere kandhe pe sar rakh kar
Nahi main sar hila dena:)




Tu yadd na kiya kar Muhabat k Faqeeroon ko....

Ye khud ko mita daitay hn kisi ki yadd main Aksar....




Yahan Adam ka beta khush hota hai
Hawa ki beti ko be'naqab dekh kar :(




Mohabbat naam hai jiska,Woh aisi qaid hai
Ke umar beet jati hai,saza poori nahi hoti






Haathon me khaak le kar dost aaye waqt-e-dafan

Zindagi bhar ki mohabbat ka sila dainy lagay....:'(




Un K Be-Naqab Honay Tak....

Main B Shamil Tha Hosh Waloon Main....





Andaaz e Janoon Hum Ko B Maloom Ha Majnoo....

Magar Hum Teri Tarha Ishq Ko Ruswa Nahi Kartay....



Such Kaha Tu Ne ,Bhoat Na-Laieq Hoon Main ..
Muddat Sai Aik Shaks Ko Apna Na Bana Saki




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...