Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, January 31, 2012

Uss Ke Zikar Se Ho Gai Meri Ankhen Num

Phir Mujhko Uski Yaad Dila Di BARISH Ne

Dil Mein Jo Bhool Ki Aag Thi Bhuja Di BARISH Ne

Main Tanha Tha Apne Ghar Main Zamane Se

Magar Mere Ghar Ki Dewar Gira Di BARISH Ne

Uss Ke Zikar Se Ho Gai Meri Ankhen Num

Magr Dosto Yeh Sari Baat Chhupa Di BARISH Ne

Suna Hai Woh Bhi Roye Hain Aaj Bahut

Lagta Hai Unko Bhi Meri Yaad Dila Di BARISH Ne

Woh Bewafa Huwe To Phir Kya Huwa"DOST"

Aaj Mere Sath Ro Kar Wafa Nibha Di BARISH Ne



Bas Tujhe Apna Bana Lon

Barish Ki Rimjhim Mein Aa Tujhe Pagal Bana Doon.
Apne Pyar Ki Aag Mein Tera Tann Mann Jala Doon.
TujhKo Chupa Loon Bahon Mein Kya Hota Hai
Pyar Yeh Tujhe Khud Se Begana Bana Doon.
Pyar Ke Bister Pe Main TujhKo Lita Doon 
Tere Jism Ko Aag-E-Ishq Se Main Garma Doon.
Apne Pyar Ki Hadh Main TujhKo Samjha Doon.
Sab Se Chura Kar Tujhe Apna Bana Lon
Bas Tujhe Apna Bana Lon


Ye arzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte

Ye arzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
Hum aur bulbul betaab guftufu karte

Payaam bar na muyassir hua, to khoob hua
Zabaan ghair us kya sharah arzoo karte

Meri tarha se meh-o-meher bhi hain awara
Kisi habeeb ki ye bhi hain justuju karte

Jo dekhte teri zanjeer zulf ka aalam
Aseer hone ki azaad arzoo karte

Na pooch aalam bargashta taalai Aatish,
Barasti aag jo baaraa'n ki aarzoo karte



Hafeez Jalandhri

Agar Mauj Hai Beech Dhaare Chala Chal - Hafeez

Agar Mauj Hai Beech Dhaare Chala Chal

Wagar-Na Kinaare Kinaare Chala Chal
Isi Chaal Se Mere Pyare Chala Chal

Guzarti Hai Jaise Guzare Chala Chal
Tujhe Sath Dena Hai Bahrupiyon Ka

Naye Se Naya Roop Dhare Chala Chal
Musalsal Buton Ki Tamanna Kiye Ja

Musalsal Khuda Ko Pukare Chala Chal
Tujhe To Abhi Der Tak Khelna Hai

Isi Mein To Hai Jit Hare Chala Chal
                    -----------------

Ab To Kuch Aur Bhi Andhera Hai- Hafeez

Ab To Kuch Aur Bhi Andhera Hai

Ye Meri Raat Ka Sawera Hai
Rah-Zanon Se To Bhaag Nikla Tha

Ab Mujhe Rahbaron Ne Ghera Hai
Aage Aage Chalo Tabar Walo

Abhi Jangal Bahut Ghanera Hai
Qaafila Kis Ki Pairawi Mein Chale

Kaun Sab Se Bada Lutera Hai
So Raho Ab “Hafeez”Ji Tum Bhi

Ye Nai Zindagi Ka Dera Hai
                    -------------------

Ai Dost Mit Gaya Hoon Fana Ho Gaya Hoon Main-Hafeez

Ai Dost Mit Gaya Hoon Fana Ho Gaya Hoon Main

Is Daur-E-Dosti Ki Dawa Ho Gaya Hoon Main
Qaayam Kiya Hai Main Ne Adam Ke Wajood Ko

Dunya Samajh Rahi Hai Fana Ho Gaya Hoon Main
Himmat Buland Thi Magar Uftad Dekhna

Chup-Chaap Aj Mahw-E-Dua Ho Gaya Hoon Main
Ye Zindagi Fareb-E-Musalsal Na Ho Kahin

Shayad Asir-E-Dam-E-Bala Ho Gaya Hoon Main
Han Kaif-E-Bekhudi Ki Wo Saat Bhi Yad Hai

Mahsoos Kar Raha Tha Khuda Ho Gaya Hoon Main
                      -------------

Dil Abhi Tak Jawaan Hai Pyare- Hafeez

Dil Abhi Tak Jawaan Hai Pyare

Kis Musibat Mein Jaan Hai Pyare
Tu Mere Hal Ka Khayal Na Kar

Is Mein Bhi Ek Shaan Hai Pyare
Raat Kam Hai Na Ched Hijr Ki Bat

Ye Badi Daastaan Hai Pyare
Talkh Kar Di Hai Zindagi Jis Ne

Kitni Meethi Zabaan Hai Pyare
Jaane Kya Kah Diya Tha Roz-E-Azal

Aaj Tak Imtihaan Hai Pyaare
Main Tujhe Be-Wafa Nahin Kahta

Dushmanon Ka Bayaan Hai Pyare
Saari Dunya Ko Hai Ghalat-Fahmi

Mujh Pe Tu Mehrabaan Hai Pyare
              ----------

Bargashta-E-Yazdaan Se Kuch Bhool Hui Hai- Hafeez

Bargashta-E-Yazdaan Se Kuch Bhool Hui Hai

Bhatke Hue Insaan Se Kuch Bhool Hui Hai
Ta Hadd-E-Nazar Shole Hi Shole Hain Chaman Mein

Phoolon K Nigehbaan Se Kuch Bhool Hui Hai
Jis Ahad Mein Lut Jaye Faqiron Ki Kamaai

Us Ahad Ke Sultan Se Kuch Bhool Hui Hai
Hanste Hain Meri Surat-E-Maftun Pe Shagufe

Mere Dil-E-Naadaan Se Kuch Bhool Hui Hai
Hooron Ki Talab Aur Mai-O-Saghar Se Hai Nafrat

Zaahid Tere Irfaan Se Kuch Bhool Hui Hai
                    ---------------

Khoon Ban Kar Munasib Nahin Dil Bahe- Hafeez

Khoon Ban Kar Munasib Nahin Dil Bahe

Dil Nahin Maanta Kaun Dil Se Kahe
Teri Dunya Mein Aye Bahut Din Rahe

Sukh Ye Paaya K Hamne Bahut Dukh Sahe
Bulbulen Gul Ke Aansu Nahin Chattein

Un Ko Apne Hi Marghub Hain Cheh-Chahe
Aalam-E-Naz’a Mein Sun Raha Hun Main Kya

Ye Azizon Ki Cheekhen Hai Ya Qeh-Qahe
Is Naye Husn Ki Bhi Adaaon Pe Ham

Mar Miten Ge Basharte Ki Zinda Rahe
                   ----------

Koi Chaara Nahin Dua Ke Siwa- Hafeez

Koi Chaara Nahin Dua Ke Siwa

Koi Sunta Nahin Khuda Ke Siwa
Mujh Se Kya Ho Saka Wafa Ke Siwa

Mujh Ko Milta Bhi Kya Saza Ke Siwa
Dil Sabhi Kuch Zaban Par Laya

Ik Faqat Arz-E-Mudda Ke Siwa
Barsar-E-Sahil-E-Muqam Yahan

Kaun Ubhra Hai Nakhuda Ke Siwa
Dil Sabhi Kuch Zuban Par Laya

Ik Faqat Arz-E-Mudda Ke Siwa
Doston K Ye Mukhali Sana Tir

Kuch Nahin Meri Hi Khata Ke Siwa
Ye “Hafeez” Aah Aah Par Akhir

Kya Kahen Dost Waah Waah Ke Siwa
                --------------

Koi Dawa Na De Sake, Mashwara Dua Diya- Hafeez

Koi Dawa Na De Sake, Mashwara Dua Diya

Chara-Garon Ne Aur Bhi Dil Ka Dard Barha Diya
Zauq-E-Nigah Ke Siwa Shauq-E-Gunah K Siwa

Mujhko Khuda Se Kya Mila Mujhko Buton Ne Kya Diya
Thi Na Khizan Ki Rok-Tham Daman-E-Ikhtiyar Mein

Hamne Bhari Bahar Mein Apna Chaman Luta Diya
Husn-E-Nazar Ki Aabaru Sanat-E-Brahaman Se Hai

Jis Ko Sanam Samajh Liya Usko Khuda Bana Diya
Dagh Hai Mujh Pe Ishq Ka Mera Gunah Bhi To Dekh

Us Ki Nigah Bhi To Dekh Jisne Ye Gul Khila Diya
                 ----------------

Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paaye Khuda Kare-Hafeez

Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paaye Khuda Kare

Tujh Ko Tera Nasib Rulaaye Khuda Kare
Raaton Mein Tujh Ko Neend Na Aaye Khuda Kare

Tu Dar-Ba-Dar Ki Thokren Khaaye Khuda Kare
Aaye Bahar Tere Gulistan Mein Bar Bar

Tujh Par Kabhi Nikhaar Na Aaye Khuda Kare
Meri Tarah Tujhe Bhi Jawaani Mein Gham Milen

Tera Na Koi Sasth Nibhsaye Khuda Kare
Manzil Kabhi Bhi Pyar Ki Tujh Ko Na Mil Sake

Tu Bhi Dua Ko Hath Uthsaye Khuda Kare
Tujh Par Shab-E-Wissal Ki Rsaten Harsam Hon

Shammein Jala Jala Ke Bujhasye Khuda Kare
Ho Jasyen Bad-Duayen Meri Dosto Ghalat

Ab Un Pe Koi Harf Na Saye Khuda Kare
                   -------------

Ye Kya Muqaam Hai Wo Nazaare Kahaan Gaye- Hafeez

Ye Kya Muqaam Hai Wo Nazaare Kahaan Gaye

Wo Phool Kya Huye Wo Sitaare Kahaan Gaye
Yaaraan-E-Bazm-E-Jurrat-E-Rindaana Kya Hui

Un Mast Ankhariyon K Ishaare Kahaan Gaye
Ek Aur Daur Ka Wo Taqaaza Kidhar Gaya

Umde Huye Wo Hosh Ke Dhaare Kahaan Gaye
Uth Uth Ke Baith Chuki Gard Raah Ki

Yaaro Qaafile Thake Haare Kahaan Gaye
Betaab Tere Dard Se The Chaara-Gar “Hafeez”

Kya Jaaniye Wo Dard K Maare Kahaan Gaye
                  -------------

Abhi To Main Javaan Hoon - Hafeez

Abhi To Main Javaan Hoon,
Havaa Bhi Khush-Gavaar Hai, Gulon Pe Bhi Nikhaar Hai ,
Tarannumen Hazaar Hain, Bahaar Pur-Bahaar Hai ,
Kahaan Chaalaa Hai Saaqiyaa, Idhar To Laut Idhar To Aa ,
Are Ye Dekhataa Hai Kya, Uthaa Suboo, Suboo Uthaa,
Suboo Uthaa Piyaala Bhar, Piyaala Bhar Ke De Idhar ,
Chaman Ki Simt Kar Nazar, Samaan To Dekh Be-Khabar ,
Vo Kaali-Kaali Badliyaan, Ufaq Pe Ho Gai Ayaan,
Vo Ik Hajoom-E-Maikashaan, Hai Soo-E-Maikadaa Ravaan,
Ye Kya Gumaan Hai Bad-Gumaan, Samajh Na Mujhako Naa-Tavaan ,
Khayaal-E-Zohd Abhi Kahaan –
Abhi To Main Javaan Hoon,
Ibaadaton Ka Zikr Hai, Nijaat Ki Bhi Fikr Hai ,
Junoon Hai Shabaab Ka, Khayaal Hai Azaab Kaa ,
Magar Suno To Shaikh Ji, Ajib Shai Hain Aap Bhi ,
Bhalaa Shabaab-O-Aashiqi, Alag Hue Bhi Hain Kabhi,
Hasin Jalava-Rez Hon, Adaayen Fitna-Khez Hon ,
Havaayen Itr-Bez Hon, To Shauq Kyoon Na Tez Hon ,
Nigaarahaa-E-Fitanaagar Koi Idhar, Koi Udhar ,
Ubhaarte Ho Aish Par, To Kya Kare Koi Bashar ,
Chalo Ji Qissa Mukhtasar, Tumhaara Nuktaa-E-Nazar ,
Durust Hai To Ho, Magar –
Abhi To Main Javaan Hoon,
 Na Gham Kashood-O-Bast Ka, Baland Ka Na Past Ka ,
Na Bood Ka Na Hast Ka, Na Vaadaa-E-Alast Ka ,
Ummid Aur Yaas Ghum, Havaas Ghum Qayaas Ghum ,
Nazar Se Aas-Paas Ghum, Hamaa Bajuz Gilaas Ghum,
Na Mai Men Kuchh Kami Rahe, Qadaa Se Ham-Dami Rahe,
Nashist Ye Jami Rahe, Yahi Hama-Hami Rahe ,
Vo Raag Chhed Mutribaa, Tarab-Fizaa Alam-Rubaa ,
Asar Sadaa-E-Saaz Kaa, Jigar Men Aag De Lagaa ,
Har Ik Lab Pe Ho Sadaa Na Haath Rok Saaqiyaa ,
Pilaaye Jaa Pilaaye Jaa, Pilaaye Jaa Pilaaye Jaa,
Abhi To Main Javaan Hoon
Ye Gasht Koh-Saar Ki, Ye Sair Joo-E-Vaar Ki,
Ye Bulbulon Ke Chahachahe, Yeh Gul Rukhon Ke Qahqahe ,
Kisi Se Mel Ho Gayaa, To Ranj-O-Fikr Kho Gayaa,
Kabhi Jo Vaqt So Gayaa, Ye Hans Gayaa Vo Ro Gayaa,
Ye Ishq Ki Kahaaniyaan, Ye Ras Bhari Javaaniyaan ,
Udhar Se Meharabaaniyaan, Idhar Se Lantaraaniyaan ,
Ye Aasamaan Ye Zamin, Nazzaraahaa-E Dilanashin ,
Unhen Hayaat Aafarin, Bhalaa Main Chhod Doon Yahin ,
Hai Maut Is Qadar Qarin, Mujhe Na Aayegaa Yaqin,
Nahin Nahin Abhi Nahin, Nahin Nahin Abhi Nahin,
Abhi To Main Javaan Hoon


                   ----------------

Ham Hi Men Thi Na Koi Baat, Yaad Na Tum Ko Aa Sake-Hafeez

Ham Hi Men Thi Na Koi Baat, Yaad Na Tum Ko Aa Sake,
Tum Ne Hamen Bhulaa Diyaa, Ham Na Tumhen Bhulaa Sake,
Tum Hi Na Sun Sake Agar, Qissaa-E-Gham Sunegaa Kaun ,
Kis Ki Zubaan Khulegi Phir, Ham Na Agar Sunaa Sake,
Hosh Men Aa Chuke The Ham Josh Men Aa Chuke The Ham ,
Bazm Ka Rang Dekh Kar Sar Na Magar Uthaa Sake,
Shauq-E-Visaal Hai Yahaan, Lab Pe Savaal Hai Yahaan ,
Kis Ki Majaal Hai Yahaan, Ham Se Nazar Milaa Sake,
Raunaq-E-Bazm Ban Gae Lab Pe Hikaayaten Rahin ,
Dil Men Shikaayaten Rahin Lab Na Magar Hilaa Sake,
Aisaa Bhi Koi Naama-Bar Baat Pe Kaan Dhar Sake ,
Sun Kar Yaqin Kar Sake Jaa Ke Unhen Sunaa Sake,
Ahl-E-Zabaan To Hain Bahut Koi Nahin Hai Ahal-E-Dil ,
Kaun Teri Tarah "Hafeez" Dard Ke Geet Gaa Sake
                    ------------------

Shaair Hoon Meraa Kaam Nahin Falsafa-Raani- Hafeez

Shaair Hoon Meraa Kaam Nahin Falsafa-Raani,
Khalti Hai Mujhe Thhos Nataaij Ki Garaani,,
Insaan Ki Tasveer Nayi Ho Ke Puraani,
Matloob Mujhe Husn Hai Aur Husn-E-Ma’ani,
Allah Ke Bandon Se Mujhe Bair Nahin Hai,
Yaani Meri Duniyaa Mein Koi Ghair Nahin Hai,
Qaumon Ki Hilaakat Ka Hunar Dekh Rahaa Hun,
Ye Roz-O-Shab-O-Shaam-O-Sahar Dekh Rahaa Hun
              ----------------------

Uthi Hai Maghrib Se Ghataa - Hafeez

Uthi Hai Maghrib Se Ghataa,
Peene Ka Mausam Aa Gayaa,
Hai Raqs Men Ik Maah-Laqa,
Naazuk Ada Naaz Aafrin,
Haan Naachti Jaa Gaaye Jaa,
Nazron Se Dil Baramaaye Jaa,
Tadpaaye Jaa Tadpaaye Jaa ,
O Dushman-E-Duniya-O-Din,
Tera Thiraknaa Khoob Hai ,
Teri Adaayen Dil-Nashin,
Lekin Thahar Too Kaun Hai ,
O Neem-Uriyaan Naazanin,
Kya Mashriqi Aurat Hai Too,
Hargiz Nahin Hargiz Nahin,
Teri Hansi Be-Baak Hai,
Teri Nigaah Chaalaak Hai,
Uff Kis Qadar Dil-Soz Hai,
Taqreer Baazaari Teri,
Kitni Havas Aamez Hai,
Ye Sadaa Purkaari Teri,
Sharm Aur Izzat Vaaliyaan,
Hoti Hain Iffat Vaaliyaan,
Vo Husn Ki Shahzaadiyaan,
Parde Ki Hain Aabaadiyaan,
Chashm-E-Falak Ne Aaj Tak,
Dekhi Nahin Un Ki Jhalak,
Sarmaayaa-E-Sharm-O-Hayaa,
Zevar Hai Un Ke Husn Ka,
Shauhar Ke Dukh Sahti Hain Vo,
Munh Se Nahin Kahti Hain Vo,
Kab Saamne Aati Hain Vo,
Ghairat Se Kat Jaati Hain Vo,
Aziyat-E-Millat Un Se Hai,
Naam-E-Sharaafat Un Se Hai,
Imaan Par Qaayam Hain Vo,
Paakizaa-O-Saayam Hain Vo,
Tujh Men Nahin Sharm-O-Hayaa,
Tujh Men Nahin Mahar-O-Vafaa,
Sach Sach Bataa Too Kaun Hai,
O Be-Hayaa Too Kaun Hai,
Ye Pur-Fasoon Ghamze Tere,
Naa-Mahramon Ke Saamne,
Hat Saamne Se Door Ho,
Mardood Ho Maqhoor Ho,
Taqdir Ki Heti Hai Too,
Shaitaan Ki Beti Hai Too,
Jis Qaum Ki Aurat Hai Too,
Us Qaum Par Laanat Hai Too,
Lekin Thahar Jaana Zaraa,
Teri Nahin Koi Khataa,
Mardon Men Ghairat Hi Nahin,
Qaumi Hamiyat Hi Nahin,
Vo Millat-E-Baizaa Ki Thi,
Saare Jahaan Ki Raushani,
Jaamiyat-E-Islaamiyaan,
Shahanshaah-E-Hindustaan,
Ab Is Men Dam Kuchh Bhi Nahin,
Ham Kya Hain Ham Kuchh Bhi Nahin,
Milli Siaasat Uth Gai,
Baazoo Ki Taaqat Uth Gai,
Shaan-E-Hejaazi Ab Kahaan,
Vo Turk-Taazi Ab Kahaan,
Ab Ghaznavi Himmat Gai
Ab Baabri Shaukat Gai
Lekin Mujhe Kya Khabt Hai,
Taqareer Kyon Berabt Hai,
Itnaa Sharaabi Ho Gayaa,
Aql-O-Khirad Bhi Kho Gayaa,
Mujh Ko Zamaane Se Gharaz,
Mitne Mitaane Se Gharaz,
Hindustan Se Kaam Kya,
Andeshaa-E-Islaam Kya,
Jeene Do Jeene Do Mujhe,
Peene Do Peene Do Mujhe,
Jab Hashr Ka Din Aayegaa,
Us Vaqt Dekha Jaayegaa,
Haan Naachti Jaa Gaaye Jaa,
Nazron Se Dil Bharmaaye Jaa,
Tadpaaye Jaa Tadpaaye Jaa,
Dushman-E-Duniya-O-Din,
                    -------------

Kyon Hijr Ke Shikave Kartaa Hai Kyon Dard Ka Rone Rotaa Hai- Hafeez

Kyon Hijr Ke Shikave Kartaa Hai Kyon Dard Ka Rone Rotaa Hai,
Ab Ishq Kiyaa Hai To Sabr Bhi Kar Is Men To Yahi Kuchh Hotaa Hai,

Aaghaaz-E-Musibat Hota Hai Apne Hi Dil Ki Sharaarat Se,
Aankhon Men Phool Khilaata Hai Talvon Men Kaante Botaa Hai,

Ahbaab Ka Shikva Kya Kijiye Khud Zaahir Va Baatin Ek Nahin,
Lab Oopar Oopar Hanste Hain Dil Andar Andar Rotaa Hai,

Mallaahon Ko Ilzaam Na Do Tum Saahil Vaale Kya Jaano,
Ye Toofaan Kaun Uthaataa Hai Ye Kishti Kaun Dubotaa Hai,

Kya Jaane Kya Ye Khoye Gaa Kya Jaane Kya Ye Paayegaa,
Mandir Ka Pujaari Jaagtaa Hai Masjid Ka Namaazi Sotaa Hai

                     ----------------------

Hafeez Jalandhari: Abhi To Main Jawaan Hoon: Malika Pukhraj


Hafeez Jalandhri-Hum Mein Hi Thi Na Koi Baat - Jagjit and Chitra Singh


Hafeez Jalandhari: Ham Hi Mein Thi Koi Baat- Mehdi Hassan


Hafeez Jalandhri-Salam Bar Hazrat Imam Hussain- Nusrat Fateh Ali

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...