Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, April 27, 2012

Suna hoga bohat tum ne !


Suna hoga bohat tum ne !

Kahin aankhon ki rim jhim ka

Kahin palkon ki shabnam ka

Parha hoga bohat tumne !

Kahin lehjay ki barish ka

kahin sagar ke aansoo ka…

Magar tum ne kabhi humdam

kahin daikhay? kahin parkhay?

Kisi tehreer ke aansoo ??

Mujhe teri judaai ne

Yehi mairaaj bakhshi hai

Ke main jo lafz likhta hoon

Woh saray lafz rotay hain

Ke main jo harf bunta hoon

Woh saray bei'n kartay hain

Mere sang is judaai main

Mere alfaz martay hain

Sabhi tareef kartay hain

Meri tehreer ki lekin !

Kabhi koi nahin sunta …

Mere alfaz ki siski !

Falak bhi jo hila daalay..

Mere lafzon main hain shamil..

Usi taseer ke aansoo…

Kabhi daikho mere humdam…

Meri tehreer ke aansoo !!!







ansoo poetry

1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...