gumsum c rehguzar thi , kinara nadi ka tha
pani mein chand , chand mein chehra kisi ka tha
ab zindagi sanbhal k leta hai tera nam
yeh dil k jis ko shoq kabi khudkushi ka tha
kuch abar b they banjh zameen se darey huaye
kuch zaiqa hava mein meri tishnagi ka tha
kehney ko dhoondtey they sabhie apne khad o khaal
warna meri ghazal mein to sab kuch usi ka tha
woh ihtiyaat e jaan thi k be rabti e khayal
saye pe b guman muje admi ka tha
mushkil kahan they tarak e mohabbat k marhalay
aye dil magar saval teri zindagi ka tha
woh jis ki dosti hi mataa e khaloos thi
Mohsin woh shakhs b mera dushman kabi ka tha
No comments:
Post a Comment