Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, January 30, 2012

Hotaa Koi Mahal Bhi To Kya Poochhte Ho Phir

Saaghar Se Lab Lagaa Ke Bahut Khush Hai Zindagi 
Sahan-E-Chaman Men Aa Ke Bahut Khush Hai Zindagi 

Aa Jaao Aur Bhi Zaraa Nazdeek Jaan-E-Man 
Tum Ko Qareeb Paake Bahut Khush Hai Zindagi 

Hotaa Koi Mahal Bhi To Kya Poochhte Ho Phir 
Be-Vajah Muskura Ke Bahut Khush Hai Zindagi 

Saahil Pe Bhi To Itni Shagufata Ravish Na Thi 
Toofaan Ke Beech Aa Ke Bahut Khush Hai Zindagi 

Veeraan Dil Hai Aur "Adam" Zindagi Kaa Raqs 
Jangal Men Ghar Banaa Ke Bahut Khush Hai Zindagi



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...