Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, November 28, 2011

Hawa thami thi zaroor laikin,

Hawa thami thi zaroor laikin,
Wo sham bhi jaisy sisak rahi thi,
K zard patton ne aandhion se,
Ajab qissa suna diya tha,
K jis ko sun kr tamam patty,
Sisak rahy thy, bilak rahy thy,
Shajar jaron se ukhar chuky thy.

Bohat talasha tha hum ne tumko,
Har aik rasta, har aik wadi,
har aik parbat, har aik ghati,
Magar kahin se teri khabar na ae,
To ye k hum ne dil ko tala,
Hawa thamy gi to hum daikh lain gay,
Hum us k raston ko dhoond lain gay.

Magar hamari ye khush-khyali,
Jo hum ko barbad kr gai thi,
Hawa thami thi zaroor laikin,
Bari hi muddat guzar chuki thi.


Falak pe tary nahin rahy thy,
Gulab pyary nahin rahy thy,
Wo jin se basti thi dil ki basti,
Wo log saary nahin rahy thy.
Magar ye almia sb se bala-tar tha,
“K tum hamary nahin rahy thy”
“K tum hamary nahin rahy thy








No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...