muddat se DhooNDhatii hai kisii kii nazar mujhey
maiN kis muqaam par hooN, nahiiN hai khabar mujheyaavaaragii uRhaaye phirii misl-e-boo-e-gul
ko_ii pukaartaa hii rahaa umr bhar mujheyyooN jaa rahaa hooN jaise na phir aaooNgaa kabhii
muRh-muRh ke dekhtii hai terii rah_guzar mujheykyaa jaane kis khayaal se cheharaa damak uThaa
maiN chaara_gar ko dekhtaa hooN chaara_gar mujheymaNzil pe aa ke ''aNa'' ajab haadisaa huaa
maiN hamsafar ko bhool gayaa hamsafar mujhey
No comments:
Post a Comment