Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, September 7, 2011

Voh sabnam ki boonde voh barish ki raat,

Voh sabnam ki boonde voh barish ki raat,
Voh sokh se jharne khuda ki saugaat.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Voh aankho ka milna voh khwabo me mulakaat.
Voh masoom aadao se tera muskurana,
Mere pass aa kar nazre milana.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Voh sharma ke mujhse nazre churana.
Vo nazro ka jaadu nazuk sa dil,
Kahani me mere sitare shamil.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Saare jahan ki khushiya thi hasil.
Voh dariya kinare pehli mulakaat,
Voh lafzo ka teharna khamosh baat.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Khoya tha dil beasar hue zajbaat.
Voh milne ka wada muskil tha intezaar,
Voh roshan safar me har pal bahaar.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Voh aankho se chhina toone karaar.
Voh dhadkan me tum thi nigahon me tum,
Nigahon se pehle khayalon me tum.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Dil me uthte sawalon me tum.
Voh tasveer teri mera muskurana,
Ek pal me dil ko tere chhu aana.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Dekh kar tasveer usi me kho jaana.
Voh jheel si aankhe mera doob jaana,
Voh dariya ki boonde tujh pe girana.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Pal bhar me tera khamosh ho jaana
Voh chupke se aa ke tujhko darana,
Voh naraj hona fir mera manana.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Voh maafi me jhukna aur tera muskurana.
Voh galti ka ehsaas waade ka karna,
Voh jaane se pehle tera palatna.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Voh aankho me judai ke aansu ko bharna.
Voh zuda hoti raahe nazro ka sahara,
Jaise mila ho kashti se kinara.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Voh door se fir toone pukara.
Voh daud ke tujhko fir gale se lagana,
Aankho ke ansu tujhse chupana.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Voh milne ka wada fir yaad dilana.
Voh najuk si aankho se aansu mitana,
Voh jaane se pehle tujhko hasana.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Voh hotho pe hasi le kar tera fir jaana.
Voh raahon me mera aansu bahana,
Ek pal ki doori na seh paana.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Teri tasveer ko fir dil se lagana.
Voh baarish ka thamna tufaan ka aana,
Majboor ho kar tera door jaana.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Voh naye khwabo ke liye mujhko bhulana.
Teri hifaazat me fir haath uthana,
Aadhure khwabo ko dil se mitana.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Duniya me kahi bhi tujhe dhundh na paana.
Voh tanhaiyo me fir unhi kinaro pe jaana,
Tumne sikhaya tha jaha waade nibhana.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Voh dariya me saagar mera fir bahana.
Voh reh-reh kar dil me teri yaad aana,
Kabhi rona toh kabhi mera muskurana.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Voh aankho ke aansu dil se bahana.
Voh kinaron pe tera intezaar karna,
Khwabon me har pal deedaar karna.
Shamil hai mujhme teri ab bhi yaadein,
Tu nahi toh teri yaadon se pyar karna…


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...