Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, September 9, 2011

Rahein Kuch Aisi Mili Na Thi Jis Ki Manzil Koi

Rahein Kuch Aisi Mili Na Thi Jis Ki Manzil Koi 
Nikal Prhay Hum Aise Safar Par Jahan Se Aaj Tak Na Laoota Koi

Hum Chahatay Bhi Tu Hum Laoot Kar Nahin A Sktay Thay
Kya Batayein K Wapsi Ka Bhi Na Tha Rasta Koi

Kayin Zamanay Ghuzar Gaaye Inn Rahonn Pe Chaltay Chaltay
Na Mila Aaj Tak Humein Humsafar Koi

Gham Ka Andhaira Hi Andhaira Tha Meri Rahonn Mein
Talash Karne Se Bhi Na Mili Mujhe Rooshni Ki Kiran Koi 

Kayin Dagah Bazonn Ne Mere Sath Dosti K Rang Mein Dagha Kiya
Na Banaon Ga Ab Mein Apni Zindgi Mein Apna Dost Koi

Iss Dunia Mein Tu Apne Hi Lootein Hein Ali
Ghaironn Se Kya Kare Ab Shikwa Koi


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...