Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, September 7, 2011

Meri khwaabo ki tasveer adhuuri rah gayi

Meri khwaabo ki tasveer adhuuri rah gayi

Bata tu kaun hai aur kahan se aati hai ab to

Ajeeb dard main mubtala hoon main ab

Roz merey sapno ko jaga kar jaati hai ab to

Sawal hai merey bahut se, jawab ek bhi nahi

Ulajhta hu main roz inhee sawaalo se ab to 

Teri shafaq jaisi surat nazar aati hai mujh ko

Teri hansi mere man ko bhaa jaati hai ab to 

Tu mohabbat ki kiran ban kar aati hai is dil ko

Aur mere wajud ko hila kar chali jaati hai ab to

Tu mat le mera imtehan ke main dub jaauu us me

Main roz ladta hu tujh se apney khawobo main ab to

Roz ek hi sawal karta hoon main tujh se

Bata de ab tu, tu kaun hai, mat le mera imtehan ab to

Ek aawaaz atey hai us ki aur khamoshi ko tod jaati hai

Tadpa deti hai mujh ko aur ek hi pal main keh jaa to ab to

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...