Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, September 14, 2011

Ajab din the mohabbat ke, ajab din the rafaqat ke

Ajab din the mohabbat ke, ajab din the rafaqat ke
kabhi gar yaad aajaaye toh palkon par sitarey jhil milatey hai...

Kisiki yaad main ratoon ko jaagna mamool tha apna
kabhi gar neend aajaati toh hum yeh soch lete the
ki abhi toh woh humare waste roya nahin hoga
soya nahin hoga...


Abhi hum bhi nahin rote, abhi hum bhi nahin sote
so phir hum jaagtey the aur usse yaad kartey the
aakele baith kar veeran dil aabad kartey the...


Humare saamne sitaron ki jhirmut main chand hota tha
jo us ke husn ke aagay bohat hi maand hota tha
falak par raqs kartey anginat sitaroon ko
jo hum tarteeb detey the toh uss ka naam banta tha...


Hum aagley roz jab miltay the toh guzre raat ki har
bekali ka zikr karte the
har ek kissa sunaatey the
kahan kis waqt dil dharka batatey the...


Main jab kehta ki janam aaj toh main raat ko ek pal nahin soya
toh woh khamosh rahti thi
par uss ki neend main doobi boojhal si aankhain
aachanak bool uthti thi...


Main jab usko batata tha maine raat ke roshan sitaron main
tumhara naam dekha hai
toh woh kahti,tum jhoot kahtey ho
sitare maine dekhey the aur un roshan
sitaron maine tumhara naam dekha tha...


Ajab masoom larki thi
mujhe kahti thi lagta hai ,ab apne sitare mil hi jaaengay
magar uss ko khabar kya thi ,kinare mil nahin sakte 
Mohabbat ki kahani main mohabbat karney waloon ke
sitarey mil nahin sakte
   kinare mil nahin sakte...
Mohabbat ki kahani main mohabbat karne waloon ke
sitarey mil nahin sakte
   kinare mil nahin sakte...
 
 

3 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...